हज़रत याक़ूब अलैहिस्सलाम ।। Biography of Hazrat Yaqoob Alaihissalam


हज़रत याक़ूब अलैहिस्सलाम का असली नाम इस्राईल है और याक़ूब से इसलिए मशहूर हुए कि याक़ूब अक़्ब से बना है जिसके मायने होते हैं एड़ी,चूंकि आपके साथ आपके एक भाई ईस भी पैदा हुए जिनकी एड़ी से आपके दोनों हाथ लगे हुए थे इसी लिए आपका लक़ब याक़ूब मशहूर हुआ,ईस के साथ एक और दिलचस्प बाप ये हुई कि वो आप ही के साथ पैदा हुए आपके ही साथ उनका विसाल हुआ और आपकी क़ब्र में ही आपके साथ दफ्न किये गए 

📕 तफसीरे नईमी,जिल्द 1,सफह 871 

📕 खज़ाएनल इरफान,पारा 13,रुकू 5

हज़रत याक़ूब अलैहिस्सलाम के वालिद का नाम हज़रत इस्हाक़ अलैहिस्सलाम है आपके दादा हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम और नाना हज़रत लूत अलैहिस्सलाम हैं 

📕 तफसीरे नईमी,जिल्द 1,सफह 358

हज़रत याक़ूब अलैहिस्सलाम ने 4 शादियां की जिनसे आपको 12 औलादें हुईं,उनके नाम हस्बे ज़ैल हैं यहूदा रुबील शमऊन लादी रियालून यशजर और दीनह ये 7 औलाद आपकी ज़ौजा लिया बिन्त लियान बिन फाहिर से हुई,दान और यफताली ज़लक़ह के बतन से,ज़ाद बलहतह के बतन से,और हज़रत यूसुफ अलैहिस्सलाम और बिन्यामीन राहील के बतन से पैदा हुए 

📕 तज़किरातुल अम्बिया,सफह 121

हज़रत याक़ूब अलैहिस्सलाम अपने 12 बेटों में सबसे ज़्यादा मुहब्बत हज़रत यूसुफ अलैहिस्सलाम से करते थे क्योंकि आपको पता था कि इन्ही को आपके बाद नुबूवत मिलनी है और बिन्यामीन को इसलिए कि वो सबसे छोटे थे,इसी हसद की वजह से हज़रत यूसुफ अलैहिस्सलाम के भाईयों ने हज़रत यूसुफ अलैहिस्सलाम को आपके बाप से जुदा कर दिया जिनके फिराक़ में हज़रत याक़ूब अलैहिस्सलाम 80 साल तक रोते रहे जिस से कि आपकी आंखों की रौशनी तक चली गई

📕 जलालैन,हाशिया 13,सफह 198

जब हज़रत याक़ूब अलैहिस्सलामका विसाल हुआ तो हज़रत यूसुफ अलैहिस्सलाम को बहुत ग़म लाहिक हुआ और आप पूरे मुल्क से हुक्मा व अतिब्बा को बुलवाकर आपको दिखाते रहे,इस तरह आपका जस्द मुबारक 40 दिनों तक युंही रखा रहा उसके बाद आपको दफनाया गया 

📕 अलबिदाया,जिल्द 1,सफह 220

हज़रत याक़ूब अलैहिस्सलाम की उम्र 145 साल हुई और आपको शहर जबरून में आपके आबा व  अजदाद के पहलु में दफ्न किया गया 

📕 खज़ाएनल इरफान,पारा 13,रुकू 5

📕 अलबिदाया,जिल्द 1,सफह 175

Hazrat yaqoob alaihissalam ka asli naam israyeel hai aur yaqoob se isliye mashhoor hue ki yaqoob aqb ke bana hai jiske maane hote hain edi,chunki aapke saath aapke ek bhai ees bhi paida hue jinki edi se aapke dono haath lage hue the isi liye aapka laqab yaqoob mashhoor hua,ees ke saath ek aur dilchasp baap ye huyi ki wo aap hi ke saath paida hue aapke hi saath unka wisaal hua aur aapki qabr me hi aapke saath dafn kiye gaye

📕 Tafseere nayimi,jild 1,safah 871

📕 Khazayenul irfan,paara 13,ruku 5

Hazrat Yaqoob Alaihissalam ke waalid ka naam hazrat ishaaq alaihissalam hai aapke daada hazrat ibraheem alaihissalam aur naana hazrat loot alaihissalam hain

📕 Tafseere nayimi,jild 1,safah 358

Hazrat Yaqoob Alaihissalam ne 4 shaadiyan ki jinse aapko 12 auladein huyi,unke naam hasbe zail hain yahuda rubeel shamoon laadi riyaloon yashjar aur deenah ye 7 aulaad aapki zauja liya bint liyaan bin faahir se huyi,daan aur yaftaali zalqah ke batan se,zaad balhatah ke batan se,aur hazrat yusuf alaihissalam aur binyameen raaheel ke batan se paida hue

📕 Tazkiratul ambiya,safah 121

Hazrat Yaqoob Alaihissalam apne 12 beton me sabse zyada muhabbat hazrat yusuf alaihissalam se karte the kyunki aapko pata tha ki inhi ko aapke baad nubuwat milni hai aur binyameen ko isliye ki wo sabse chhote the,isi hasad ki wajah se hazrat yusuf alaihissalam ke bhaiyon ne hazrat yusuf alaihissalam ko aapke baap se juda kar diya jinke firaaq me hazrat yaqoob alaihissalam 80 saal tak rote rahe ki aapki aankhon ki raushni tak chali gayi

📕 Jalalain,haashia 13,safah 198

Jab aap Hazrat Yaqoob Alaihissalam ka wisaal hua to hazrat yusuf alaihissalam ko bahut ghum laahik hua aur aap poore mulk se hukma wa atibba ko bulwakar aapko dikhaate rahein,is tarah aapka jasd mubarak 40 dino tak yunhi rakha raha uske baad aapko dafnaya gaya

📕 Albidaya,jild 1,safah 220

Hazrat Yaqoob Alaihissalam ki umr 145 saal huyi aur aapko shahre jabroon me aapke aaba wa ajdaad ke pahlu me aapko dafn kiya gaya

📕 Khazayenul irfan,paara 13,ruku 5

📕 Albidaya,jild 1,safah 175


No comments