जानिये ! इस्लाम में दाढ़ी क्यों रखी जाती है ? (Beard Its Sunnah)




"Hamari Shariyat me Dadhi Rakhna Sirf Sunnat Hi Nahi Balki Isko Wajib Kaha Gya hai Aur Isko Katana Ek Haraam Amal hai, Jo Allah Aur Uske Rasool صلى الله عليه وسلم ki Narazgi ka Baish hai"




❤HADEES SHARIF❤

➤Mushriko ki Mukhalifat Kro Dadhi ko Badhaao Aur Moonchho ko Chhota karo.

(Bukhari Sharif 5892, 5893)
(Bukhari,jild 2,safah 87)
(Muslim,jild 1,safah 129)
(Tirmizi,jild 2,safah 105)


➤Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu Ta'ala Anhu Farmate hain ki Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ne Moonchho ko Chhota karne Aur Darhi ko Badhaane ka hukm Dia Hai.

(Abu dawd 4199, Muslim Sharif 259, Tirmizi Sharif 2764)



FUQHA

➤ Tamam sunnato me daadhi ek musht tak badhane ki sunnat itni qavi hai ki ulmaye kiraam ise waajib kahte hain.

(Ashatul lam'aat,jild 1,safah 212)

➤ Daadhi badhana tamam nabiyon ki sunnat hai ise mundana ya ek musht se kam karna haraam hai.

(Bahare shariyat,hissa 16,safah 197)

➤Daadhi jabki ek musht se kam ho to use kaatna ya kam karna kisi imaam maslan hanfi shafayi maaliki wa hambli ke nazdeeq jayaz nahin hai aur poori tarah se moond dena to mukhannas yaani hijdo ka aur hindustan ke yahudiyon aur iran ke majusiyon ka tariqa hai.

(Durre mukhtar,jild 2,safah116)
(Bahrur rayiq,jild 2,safah 280)
(Fathul qadeer,jild 2,safah 270)
(Tahtaavi,safah 411)




➤ Ek Mutthi Dadhi Sunnat Hai:

Narrated Abdullah ibn Umar: Marwan ibn Salim al-Muqaffa' said: I saw Ibn Umar holding his bread with his hand and cutting what exceeded the handful of it. 
(Sunnan e Abu Dawood Hadees # 2357.)



➤Narrated 'Amr bin Shu'aib:
from his father, from his grandfather that he Prophet (ﷺ) would take from his beard; from its breadth and its length. 
(Jam e Tirmazi Hadees # 2762.)



➤Dadhi (Beard) Ke Atraaf wa Javanib Ki Islaah Karna:


Nabi e Kareem ﷺ Ke Khidmat me Abi Qahafa Aaye aur Inki Dadhi (Beard) Bikhri Hui thi to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Inki Dadhi ke Atraaf Ishara Farmakar Farmaya Kash Tum Isko Katarte aur Islaah Karte.



(📚مسند امام اعظم ؓ، باب: الاخذ بنواحی الحیة.)



"Kuchh log chhoti si dadhi rakh lete hai Ye Poori Dadhi nahi Dadhi ki Lambayi Shariat Aur Ahadis ki Roshni se sabit hai ki Dadhi ki Lambayi Ek Mutthi ke barabar ho,Yaani Thodi se milakar Mutthi Pakde Fir ek mutthi se jitni Zyada ho usko kaat sakte hai Yahi Amal Sahaba e kiram ka tha"






NOTE-  Kuch Log Ye Soch Kar Dadhi Nahi Rakhte Ki Unse Koi Gunah Ho Jay Jisse Dadhi Ki Be-Adabi Hogi Jabki Ye Ek Sirf Or Sirf Shaitani Vasvasa Hai Jo Apko Wajib Ko Ada Karne Se Rokta Hai Aur Apko Gunahgar Banata Hai... Baray Meharbani Dadhi Rakhe Kyuki Dadhi Rakhna Wajib Hai Aur Sath Hi Ye Mard Ki Jeenat Bhi Hoti Hai.


"IS POST KO SHARE JAROOR KARE AUR DUA KARE KI ALLAH HAME DADHI RAKHNE KI TOUFIK ATA KARE ...."
AAMEEN!