हज़रत लूत अलैहिस्सलाम ।। Biography of Hazrat Loot Alaihissalam


हज़रत लूत अलैहिस्सलाम 

Hazrat Loot Alaihissalam

हज़रत लूत अलैहिस्सलाम, हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम के भाई हारान बिन तारख के बेटे हैं यानि हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम आपके चचा हैं,ख्याल रहे कि हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम के चचा का नाम भी हारान है जो कि हज़रते सारह के वालिद थे वो दूसरे हारान हैं

हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम पर सबसे पहले हज़रत लूत अलैहिस्सलाम के ईमान लाने से ये ना समझा जाये कि मआज़ अल्लाह हज़रत लूत अलैहिस्सलाम इससे पहले मोमिन ना थे बल्कि आपकी सदाक़त पर ईमान लाये,वरना अम्बिया-ए किराम के लिए मुहाल है कि एक आन के लिए भी वो हज़रात गुनाह की तरफ गए हों

चूंकि हज़रत लूत अलैहिस्सलाम का इलाका हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम के बहुत करीब था इसलिये आपने अपनी क़ौम को इबादत की दावत नहीं पेश की बल्कि सिर्फ बुराइयों से रोकते रहे,कुछ गुनाह ऐसे हुए हैं जो हज़रत लूत अलैहिस्सलाम की उम्मत से शुरू हुए और मआज़ अल्लाह आज भी लोगों में पाए जाते हैं,उनकी तफसील हस्बे ज़ैल हैं

! इगलाम बाज़ी यानि मर्दों का मर्दों से सोहबत करना 

! कबूतर बाज़ी इस तरह करना कि पूरा दिन गुज़र जाता

! औरतों की वज़अ कतअ बनाना 

! मर्दों का हाथों में मेंहदी लगाना 

! रास्ते में बैठ कर आते जाते लोगों को तंग करना

! महफिल में आवाज़ के साथ रिया खारिज करना 

! एक दूसरे को थप्पड़ मारना 

! हंसी मज़ाक में लोगों को गाली देना

! सबके सामने नंगे हो जाना 

! हर वक़्त मुंह में कुछ डालकर चबाते रहना

ⓩ ज़रा सोचिये कि वही गुनाह पहले के लोग करते थे तो आसमान से पत्थर बरस पड़ते थे तो कहीं बादल गिरा दिया जाता था तो कहीं पानी में गर्क कर दिया जाता था और आज वही सारे गुनाह हम भी करते हैं मगर हम पर पत्थर नहीं बरसते,क्यों,क्योंकि हमारे नबी सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम रहमतुल लिल आलमीन हैं और ज़िन्दा बा हयात हैं जैसा कि खुद मौला तआला क़ुर्आन में इरशाद फरमाता है कि

और अल्लाह का काम नहीं कि उन्हें अज़ाब करे जब तक कि ऐ महबूब तुम उनमे तशरीफ फरमा हो 

📕 पारा 9,सूरह इंफाल,आयत 33

ⓩ तो मानना पड़ेगा कि हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम जिन्दा बा हयात हैं और अपने बन्दों पर से अज़ाब को दूर फरमाते हैं,मगर ऐसा भी नहीं है कि अब चाहे जितने गुनाह करो सज़ा तो मिलनी नहीं हैं नहीं बल्कि जैसे ही सांस टूटेगी अगर गुनहगार होंगे तो अज़ाब मुसल्लत कर दिया जायेगा,लिहाज़ा अगर अज़ाब से बचना चाहते हों तो सच्चे दिल से तौबा करें और नेक अमल इख्तियार करें

जब क़ौम के गुनाह हद्द से ज्यादा बढ़ गए तो मौला ने फरिश्तों को अज़ाब लेकर क़ौम की तरफ भेजा तो वो फरिश्ते सबसे पहले हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम के पास पहुंचे,आपके घर 15 दिन से कोई मेहमान नहीं आया था फौरन आपने एक भुना हुआ बछड़ा पेश किया जब उन लोगों ने खाने में हाथ नहीं डाला तो आप समझ गए कि ये फरिश्ते हैं,और आपका खौफ खाना इस लिए नहीं था कि मआज़ अल्लाह आपको अपनी हलाक़त का खौफ था बल्कि अपनी उम्मत पर अज़ाब पड़ने का खौफ हुआ,फरिश्तों ने जब ये कहा कि खौफ ना करें कि हम आपकी उम्मत पर नहीं भेजे गए बल्कि हम हज़रत लूत अलैहिस्सलाम की उम्मत पर अज़ाब लेकर आये हैं तो आपको उनकी उम्मत की फिक्र दामनगीर हुई और उन पर से भी अज़ाब को टालने की कोशिश की,जिसके बारे में मौला तआला क़ुर्आन मुक़द्दस में फरमाता है कि "हमसे क़ौमे लूत के बारे में झगड़ने लगा....ऐ इब्राहीम इस ख्याल में न पड़ बेशक तेरे रब का हुक्म आ चुका बेशक उन पर अज़ाब आने वाला है फेरा ना जायेगा" जब आपने जान लिया कि ये क़ज़ाए मुबरम हक़ीक़ी है तो आप खामोश हो गये

फिर वो फरिश्ते हज़रत लूत अलैहिस्सलाम के पास पहुंचे और आपसे बस्ती छोड़ देने को कहा मगर आपकी बीवी जिसका नाम वाहेला था ये काफिरा थी उसको साथ ले जाने को मना किया,जब फरिश्ते इन्सानी सूरत में हज़रत लूत अलैहिस्सलाम के पास पहुंचे तो क़ौम अपनी अय्याशियों के सबब खूबसूरत मर्दों को देखकर हज़रत लूत अलैहिस्सलाम के घर पर जमा हो गए और उनसे मिलने को कहने लगे,जिस पर हज़रत लूत अलैहिस्सलाम ने उनको समझाया कि ये तुम्हारी बीवियाँ मेरी क़ौम की बेटियां है इनका तुम पर हक़ है उसे अदा करो क्यों इस गुनाह में पड़ते हो,मगर वो नहीं माने तो फरिश्तो ने अर्ज़ किया आप घबरायें नहीं हम आम लड़के नहीं हैं कि ये हमको दबोच लेंगे,हज़रत लूत अलैहिस्सलाम अपने घर वालों को लेकर निकल गए पीछे फरिश्तों ने उस पूरे इलाके को जिनमे 5 बस्तियां आबाद थीं यानि सअदून,उमूराह,औमा,ज़बुईम और सबसे बड़ी बस्ती सदूम जिसे क़ुर्आन ने मोतफिक़ात से ताबीर किया है सबको उठाकर पलट दिया और आसमानों से पत्थरों की बारिश कर दी कि हर पत्थर पर उसके मरने वाले का नाम लिखा होता था जिसको लगता वहीं ढेर हो जाता एक पत्थर हज़रत लूत अलैहिस्सलाम की काफिरा बीवी को लगा और वो भी मर गई,इस तरह वो पूरी क़ौम तबाहो बर्बाद हो गई,रिवायत में आता है कि आज भी उस जगह से यानि बहरे मुराद या बहरे लूत से धुवें के बादल उठते रहते हैं और ज़लज़ले आते रहते हैं

📕 तज़किरातुल अम्बिया,सफह 113---120


Hazrat loot alaihissalam hazrat ibraheem alaihissalam ke bhai haaraan bin taarakh ke bete hain yaani hazrat ibraheem alaihissalam aapke chacha hain,khayal rahe ki hazrat ibraheem alaihissalam ke chacha ka naam bhi haaraan hai jo ki hazrate saarah ke waalid the wo doosre haaraan hain

Hazrat ibraheem alaihissalam par sabse pahle hazrat loot alaihissalam ke imaan laane se ye na samjha jaaye ki maaz ALLAH hazrat loot alaihissalam isse pahle momin na the balki aapki sadaqat par imaan laaye,warna ambiya ikraam ke liye muhaal hai ki ek aan ke liye bhi wo hazraat gunaah ki taraf gaye hon

Chunki hazrat loot alaihissalam ka ilaaqa hazrat ibraheem alaihissalam ke bahut qareeb tha isliye aapne apni qaum ko ibaadat ki daawat nahin pesh ki balki sirf burayion se rokte rahe,kuchh gunaah aise hue hain jo hazrat loot alaihissalam ki ummat se shuru hue aur maaz ALLAH aaj bhi logon me paaye jaate hain,unki tafseel hasbe zail hain

! Iglaam baazi yaani mardon ka mardon se sohbat karna
! Kabootar baazi is tarah karna ki poora din guzar jaata
! Aurton ki waza qata banana
! Mardon ka haathon me menhdi lagana
! Raaste me baith kar aate jaate logon ko tang karna
! Mahfil me aawaz ke saath riya khaarij karna
! Ek doosre ko thappad maarna
! Hansi mazaaq me logon ko gaali dena
! Sabke saamne nange ho jaana
! har waqt munh me kuchh daalkar chabate rahna

ⓩ Zara sochiye ki wahi gunaah pahle ke log karte the to aasman se patthar baras padte the to kahin baadal gira diya jaata tha to kahin paani se gark kar diya jaata tha aur aaj wahi saare gunaah hum bhi karte hain magar hum par patthar nahin baraste,kyun,kyunki hamare nabi sallallaho taala alaihi wasallam RAHMATULLIL AALAMEEN hain aur zinda ba hayaat hain jaisa ki khud maula taala quran me irshaad farmata hai ki

Aur ALLAH ka kaam nahin ki unhein azaab kare jab tak ki ai mahboob tum unme tashreef farma ho

📕 Paara 9,surah infaal,aayat 33

ⓩ To maanna padega ki huzoor zinda ba hayaat hain aur apne bando par se azaab ko door farmate hain,magar aisa bhi nahin hai ki ab chahe jitne gunaah karo saza to milni nahin hain nahin balki jaise hi saans tootegi agar gunahgaar honge to azaab musallat kar diya jayega,lihaza agar azaab se bachna chahte hon to sachche dil se tauba karen aur nek amal ikhtiyar karen

Jab qaum ke gunaah hadd se zyada badh gaye to maula ne farishto ko azaab lekar qaum ki taraf bheja to wo farishte sabse pahle hazrat ibraheem alaihissalam ke paas pahunche,aapke ghar 15 din se koi mehman nahin aaya tha fauran aapne ek bhuna hua bachhda pesh kiya jab un logon ne khaane me haath nahin daala to aap samajh gaye ki ye farishte hain,aur aapka khauff khaana is liye nahin tha ki maaz ALLAH aapko apni halaqat ka khauff tha balki apni ummat par azaab padne ka khauff hua,farishton ne jab ye kaha ki khauff na karen ki hum aapki ummat par nahin bheje gaye balki hum hazrat loot alaihissalam ki ummat par azaab lekar aaye hain to aapko unki ummat ki fikr daamangeer huyi aur unpar se bhi azaab ko taalne ki koshish ki,jiske baare me maula taala quran muqaddas me farmata hai ki "humse qaume loot ke baare me jhagadne laga....ai ibraheem is khayal me na pad beshak tere rub ka hukm aa chuka beshak unpar azaab aane waala hai phera na jayega" jab aapne jaan liya ki ye qazaye mubram haqiqi hai to aap khaamosh ho gaye

Phir wo farishte hazrat loot alaihissalam ke paas pahunche aur aapse basti chhod dene ko kaha magar aapki biwi jiska naam waayela tha ye kaafira thi usko saath le jaane ko mana kiya,jab farishte insaani soorat me hazrat loot alaihissalam ke paas pahunche to qaum apni ayyashiyon ke sabab khoobsurat mardon ko dekhkar hazrat loot alaihissalam ke ghar par jama ho gaye aur unse milne ko kahne lage,jis par hazrat loot alaihissalam ne unko samjhaya ki ye tumhari biwiyan meri qaum ki betiyan hai inka tumpar haq hai use ada karo kyun is gunah me padte ho,magar wo nahin maane to farishto ne arz kiya aap ghabrayen nahin hum aam ladke nahin hain ki ye humko daboch lenge,hazrat loot alaihissalam apne ghar waalon ko lekar nikal gaye peechhe farishton ne us poore ilaaqe ko jinme 5 bastiyan aabad thin yaani saadoon,umurah,auma,zabuim aur sabse badi basti sadoom jise quran ne motafiqaat se taabeer kiya hai sabko uthakar palat diya aur aasmano se pattharon ke baarish kar di ki har patthar par uske marne waale ka naam likha hota tha jisko lagta wahin dher ho jaata ek patthar hazrat loot alaihissalam ki kaafira biwi ko laga aur wo bhi mar gayi,is tarah wo poori qaum tabaho barbaad ho gayi riwayat me aata hai ki aaj bhi us jagah se yaani bahre muraad ya bahre loot se dhuwen ke baadal uthte rahte hain aur zalzale aate rahte hain

📕 Tazkiratul ambiya,safah 113--120

No comments