इमामे आज़म अबु हनीफा रदीयल्लाहु तआला अन्हु ।। Biography Imame Azam Abu Hanifa Noman Bin Sabit
इमामे आज़म अबू हनीफा:
* आपका नाम नोअमान वालिद का नाम साबित और कुन्नियत अबू हनीफा है,आप 80 हिजरी में पैदा हुए
📕 खैरातुल हिसान,सफह 70
* हज़रत शेख अब्दुल हक़ मुहद्दिस देहलवी रज़ियल्लाहु तआला अन्हु फरमाते हैं कि आपका ज़िक्र तौरैत शरीफ में भी यूं मौजूद है कि "मुहम्मद सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम की उम्मत में एक नूर होगा जिसकी कुन्नियत अबू हनीफा होगी
📕 तआर्रुफ फिक़ह व तसव्वुफ,सफह 225
* खुद हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम फरमाते हैं कि "मेरी उम्मत में एक मर्द पैदा होगा जिसका नाम अबू हनीफा होगा वो क़यामत में मेरी उम्मत का चराग़ है
📕 मनाक़िबिल मोफिक,सफह 50
* बुखारी व मुस्लिम शरीफ की हदीसे पाक है हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि "अगर ईमान सुरैया के पास भी होता तो फारस का एक शख्स उसे हासिल कर लेता" इस हदीस की शरह में हज़रत जलाल उद्दीन सुयूती रज़ियल्लाहु तआला अन्हु फरमाते हैं कि उस शख्स से मुराद इमामे आज़म अबू हनीफा रज़ियल्लाहु तआला अन्हु हैं
📕 तबयिदुल सहीफा,सफह 7
*सुरैया चौथे आसमान पर एक सितारे का नाम है*
* आप ताबईन इकराम के गिरोह से हैं क्योंकि आपने कई सहाबा इकराम की ज़ियारत की है,बाज़ ने 20 सहाबी से मुलाक़ात का ज़िक्र किया और बाज़ ने 26 और भी इख्तिलाफ पाया जाता है,मगर इसमें कोई इख्तेलाफ नहीं कि आपकी सहाबियों से मुलाक़ात ना हुई हो क्योंकि खुद बराहे रास्त आपने 7 सहाबा इकराम से हदीस सुनी है जिनमे सबसे अफज़ल सय्यदना अनस बिन मालिक रज़ियल्लाहु तआला अन्हु हैं,फिर अब्दुल्लाह बिन हारिस,जाबिर बिन अब्दुल्लाह,मअकल बिन यसार,वासला बिन यस्क़ा,अब्दुल्लाह बिन अनीस,आयशा बिन्त अजरद रिज़वानुल्लाहे तआला अलैहिम अजमईन शामिल हैं
📕 बे बहाये इमामे आज़म,सफह 62
* हज़रत दाता गंज बख्श लाहौरी रज़ियल्लाहु तआला अन्हु लिखते हैं कि एक मर्तबा आपने गोशा नशीन होने का इरादा फरमा लिया था,रात को हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम ख्वाब में तशरीफ लाये और फरमाया कि "ऐ अबू हनीफा तेरी ज़िन्दगी अहयाये सुन्नत के लिए है तू गोशा नशीनी का इरादा तर्क कर दे" तो आपने ये इरादा तर्क कर दिया
📕 कशफुल महजूब,सफह 162
* फिक़ह हनफी पर ऐतराज़ करने वालों और हर बात में बुखारी बुखारी की रट लगाने वालो देखो कि इमाम बुखारी ने इल्म किससे सीखा,इमाम बुखारी के उस्ताज़ हैं इमाम अहमद बिन हम्बल उनके उस्ताज़ हैं इमाम शाफई उनके उस्ताज़ हैं इमाम मुहम्मद उनके उस्ताज़ हैं इमाम अबू यूसुफ और आप के उस्ताज़ हैं इमामुल अइम्मा इमामे आज़म रिज़वानुल्लाही तआला अलैहिम अजमईन
📕 इमामे आज़म,सफह 195
*ⓩ आपसे बेशुमार करामतें ज़ाहिर है और बेशुमार वाक़ियात किताबों में मौजूद है,चन्द यहां ज़िक्र करता हूं*
* क़ुरान मुक़द्दस को 1 रकात में पढ़ने वाले 4 हज़रात हैं जिनमे हज़रत उसमान ग़नी हज़रत तमीम दारी हज़रत सईद बिन जुबैर और हमारे इमाम इमामे आज़म रिज़वानुल्लाही तआला अलैहिम अजमईन हैं
📕 क्या आप जानते हैं,सफह 211
* इमाम ज़हबी रहमतुल्लाह तआला अलैही फरमाते हैं कि आपका पूरी रात इबादत करना तवातर से साबित है और 30 सालों तक 1 रकात में क़ुरान पढ़ते रहे और 40 सालों तक ईशा के वुज़ू से फज्र अदा की,आप रमज़ान में 61 कलाम पाक खत्म किया करते थे एक दिन में एक रात में और एक पूरे महीने की तरावीह में,आपने 55 हज किये
📕 इमामे आज़म,सफह 75
* आलाहज़रत अज़ीमुल बरक़त रज़ियल्लाहु तआला अन्हु फरमाते हैं कि अगर रूए ज़मीन के आधे इंसानो के साथ इमामे आज़म की अक़्ल को तौला जाए तो इमामे आज़म की अक़्ल भारी होगी
📕 फतावा रज़वियह,जिल्द 1,सफह 123
* आप जब रौज़ए अनवर पर हाज़िरी देते और सलाम पेश करते तो जाली मुबारक से आवाज़ आती व अलैकुम अस्सलाम या इमामुल मुस्लेमीन
📕 तज़किरातुल औलिया,सफह 165
* एक मर्तबा एक दहरिये (नास्तिक यानि खुदा का मुनकिर) से आपका मुनाज़रा तय हुआ,आप मुनाज़रे में काफी देर से पहुंचे तो उसने देर से आने की वजह पूछी तो आप फरमाते हैं कि अगर मैं ये कहूं कि अभी अभी मैंने एक बड़ी ही अजीब बात देखी ये कि मैं एक जंगल की तरफ निकल गया वहां एक नदी थी अचानक एक पेड़ खुद से कटकर गिर गया फिर उसकी लकड़ी से फौरन ही कश्ती बन गयी फिर वो कश्ती नदी में खुद ही चलने लगी और मुसाफिरों को इधर से उधर छोड़ने लगी और पैसा भी खुद वसूल करती तो क्या तुम मान लोगे,ये सुनकर वो हंसने लगा कि आप इतने बड़े इमाम होकर ऐसी बात करते हैं क्या कहीं खुद से पेड़ भी कट सकता है और क्या खुद से कश्ती बन सकती है ये तो मुमकिन ही नहीं तो इमामे आज़म फ़रमाते हैं कि सोचो जब एक कश्ती खुद से नहीं बन सकती तो फिर इतनी बड़ी दुनिया ये ज़मीन आसमान ये सूरज चांद सितारे ये सब खुद बखुद कैसे बन सकते हैं,अब जब दहरिये ने ये सुना तो उसकी दिल की दुनिया बदल गई फौरन आपके क़दमों में गिरा और मुसलमान हो गया
📕 तफसीरे कबीर,जिल्द 1,सफह 221
* एक शादी में दो भाईयों की शादी दो बहनों से हुई,मगर इत्तेफाक ये हुआ कि एक दूसरे की दुल्हनें बदल गयी छोटे की दुल्हन बड़े के पास और बड़े की दुल्हन छोटे के पास चली गयी,जब दूसरे दिन लोगों को मालूम हुआ तो घर वाले सब परेशान हाल हज़रत सूफियान के पास पहुंचे और उनसे सारी बात बताई उन्होंने कहा कोई बात नहीं ये गलती से हुआ है लिहाज़ा सोहबत की वजह से महर वाजिब हो गया है वो अदा कर दें और आज रात जिसकी शादी जिसके साथ हुई है वो उसी के साथ रहे,जब हज़रत इमामे आज़म से पूछा गया तो आपने दोनों लड़कों को बुलाया और पूछा कि रात तुमने जिसके साथ गुज़ारी क्या वो तुम्हे पसंद है दोनों ने हां कहा,तो आप फरमाते हैं कि इसका बेहतरीन रास्ता ये है कि दोनों अपनी अपनी बीवियों को तलाक़ दे दें चुंकि बीवी से सोहबत हुई ही नहीं इसलिए इद्दत इन पर वाजिब नहीं और जिसके साथ रात गुज़री उनसे निकाह कर ले फौरन ही दोनों ने अपनी अपनी बीवियों को तलाक़ दिया और रात जिसके साथ गुज़ारी थी उनसे निकाह हो गया
📕 जवाहिरूल बयान,सफह 86
* आपका विसाल 2 शाबान 150 हिजरी में हुआ,6 बार आपकी नमाज़े जनाज़ा पढ़ी गयी और क़ब्र पर तो 20 दिन तक नमाज़ होती रही,आपके विसाल पर जिन्नात भी रो पड़े थे
📕 इमामे आज़म,सफह 132
*===============================*
*===============================*
* Aapka naam nomaan waalid ka naam saabit aur kunniyat abu hanifa hai,aap 80 hijri me paida hue
📕 Khairatul hisaan,safah 70
* Hazrat shaikh abdul haq muhaddis dehlavi raziyallahu taala anhu farmate hain ki aapka zikr taurait sharif me bhi yun maujood hai " MUHAMMAD sallallaho taala alaihi wasallam ki ummat me ek noor hoga jiski kunniyat abu hanifa hogi
📕 Taarruf fiqa w tasawwuf,safah 225
* Khud huzoor sallallaho taala alaihi wasallam farmate hain ki "meri ummat me ek mard paida hoga jiska naam abu hanifa hoga wo qayamat me meri ummat ka charag hai
📕 Manaqibe lilmofiq,safah 50
* Bukhari wa muslim sharif ki hadise paak hai huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki "agar imaan surayya ke paas bhi hota to faaras ka ek shakhs use haasil kar leta" is hadees ki sharah me hazrat jalal uddin suyuti raziyallahu taala anhu farmate hain ki us shakhs se muraad imaame aazam abu hanifa raziyallahu taala anhu hain
📕 Tabyidul sahifa,safah 7
* Aap tabayeen ikraam ke giroh se hain kyunki aapne kayi sahaba ikram ki ziyarat ki hai,baaz ne 20 sahabi se mulaqat ka zikr kiya aur baaz ne 26 aur bhi iktilaf paaya jaata hai,magar isme koi ikhtelaf nahin ki aapki sahabiyon se mulaqat na huyi ho kyunki khud barahe raast aapne 7 sahaba ikram se hadees suni hai jinme sabse afzal sayyadna anas bin maalik raziyallahu taala anhu hain,phir abdullah bin haaris,jaabir bin abdullah,maaqal bin yasaar,waasla bin asqa,abdullah bin anees,aaysha bint ajrad rizwanullahe taala alaihim ajmayeen shaamil hain
📕 Be bahaye imaame aazam,safah 62
* Hazrat daata ganj bakhsh lahauri raziyallahu taala anhu likhte hain ki ek martaba aapne gosha nasheen hone ka iraada farma liya tha,raat ko huzoor sallallaho taala alaihi wasallam khwab me tashreef laaye aur farmaya ki "ai abu hanifa teri zindagi ahyaye sunnat ke liye hai tu gosha nashini ka iraada tark kar de" to aapne ye iraada tark kar diya
📕 Kashful mahjoob,safah 162
* Fiqah hanfi par aitraz karne waalo aur har baat me bukhari bukhari ki rat lagane waalo dekho ki imaam bukhari ne ilm kisse seekha,imaam bukhari ke ustaaz hain imaam ahmad bin hambal unke ustaaz hain imaam shafayi unke ustaaz hain imaam muhammad unke ustaaz hain imaam abu yusuf aur aap ke ustaaz hain imaamul ayimma imaame aazam rizwanullahe taala alaihim ajmayeen
📕 Imaame aazam,safah 195
*ⓩ Aapse beshumar karamatein zaahir hai aur beshumar waaqiyat kitabon me maujood hai,chund ka zikr karta hoon*
* Quran muqaddas ko 1 rakat me padhne waale 4 hazraat hain jinme Hazrat usman gani hazrat tameem daari hazrat sayeed bin jubair aur hamare imaam imaame aazam rizwanullahe taala alaihim ajmayeen hain
📕 Kya aap jaante hain,safah 211
* Imaam zahbi rahmatullah taala alaihi farmate hain ki aapka poori raat ibadat karna tawatar se saabit hai aur 30 saalon tak 1 rakat me quran padhte rahe aur 40 saalon tak isha ke wuzu se fajr ada ki,aap ramzan me 61 kalaam paak khatm kiya karte the ek din me ek raat me aur ek poore mahine ki taravih me,aapne 55 hajj kiye
📕 Imaame aazam,safah 75
* Aalahazrat azimul barqat raziyallahu taala anhu farmate hain ki agar rooye zameen ke aadhe insaano ke saath imaame aazam ki aql ko taula jaaye to imaame aazam ki aql bhaari hogi
📕 Fatawa razviyah,jild 1,safah 123
* Aap jab rauzaye anwar haaziri dete aur salaam pesh karte to jaali mubarak se aawaz aati wa alaikum assalam ya imamul muslemeen
📕 Tazkiratul auliya,safah 165
* Ek martaba ek dahriye (naastik yaani khuda ka munkir) se aapka munazra tai hua,aap munaazre me kaafi der se pahunche to usne der se aane ki wajah poochhi to aap farmate hain ki agar main ye kahun ki abhi abhi maine ek badi hi ajeeb baat dekhi ye ki main ek jungle ki taraf nikal gaya wahan ek nadi thi achanak ek peid khud se katkar gir gaya phir uski lakdi se fauran hi kashti ban gayi phir wo kashti nadi me khud hi chalne lagi aur musafiro ko idhar se udhar chhodne lagi aur paisa bhi khud wasool karti to kya tum maan loge,ye sunkar wo hasne laga ki aap itne bade imaam hokar aisi baat karte hain kya kahin khud se ped bhi kat sakta hai aur kya khud se kashti ban sakti hai ye to mumkin hi nahin to imaame aazam farmate hain ki socho jab ek kashti khud se nahin ban sakti to phir itni badi duniya ye zaameen aasman ye suraj chaand sitare sab khud bakhud kaise ban sakte hain,ab jab dahriye ne ye suna to uski dil ki duniya khul gayi fauran qadmon me gira aur musalman ho gaya
📕 Tafseere kabeer,jild 1,safah 221
* Ek shaadi me do bhaiyon ki shaadi do bahno se huyi,magar ittefaq ye hua ki ek doosre ki dulhanein badal gayi chhote ki dulhan bade ke paas aur bade ki dulhan chhote ke paas chali gayi,jab doosre din logon ko maloom hua to ghar waale sab pareshan haal hazrat sufiyan ke paas pahunche aur unse saari baat batayi unhone kaha koi baat nahin ye galti se hua hai lihaza sohbat ki wajah se mahar waajib ho gaya hai so ada kar dein aur aaj raat jiski shaadi jiske saath huyi hai wo usi ke saath rahe,jab imaame aazam se poochha gaya to aapne dono ladkon ko bulaya aur poochha ki raat tumne jiske saath guzaari kya wo tumhe pasand hai dono ne haan kaha,to aap farmate hain ki iska behtareen raasta ye hai ki dono apni apni biwiyon ko talaaq de dein chunki biwi se sohbat huyi hi nahin isliye iddat unpar waajib na thi so fauran hi dono ne apni apni biwiyon ko talaaq diya aur raat jiske saath guzaari thi unse nikah ho gaya
📕 Jawahirul bayaan,safah 86
* Aapka wisaal 2 shaaban 150 hijri me hua,6 baar aapki namaze janaza padhi gayi aur qabr par to 20 din tak namaz hoti rahi,aapke wisaal par jinnat bhi ro pade the
📕 Imaame aazam,safah 132
Post a Comment