इमामे आज़म अलैहिरह्मा की शान और मर्तबा (IMAME AZAM ABU HANIFA ALAIHIRAHMA KA KI SHAN AUR MARTABA)

 


MARTABA IMAME AZAM ABU HANIFA (Alaihirahma):

🔸Hazrat Sufiyan Sauri (alaihi rahma) ke bhai ke inteqal par jab Imam Abu Hanifa (alaihi rahma) unke ghar taziyat ke liye tashreef laye, tab Hazrat Sufiyan Sauri (alaihi rahma) ne unki tazeem ke liye khadey hokar farmaya

"Is shaks ka ilm me a'laa muqam hai. Agar mai unke ilm ke liye khada na hota toh unki umar ki tazeem ke liye khada hota. Aur agar unki umar na hoti toh unke taqwe ke liye khada hota. Aur agar taqwa na hota toh unki faqahat (fahem, intelligency) ke liye khada hota"

(📚Tareeqe Baghdad-Imam Khateeb Baghdadi Jild-15 page-471)

🔸Hamare Buzurgane deen ka ye tariqa raha hai ke wo Tazeeman apne se bade Ulamae kiram ke liye khade hua karte the. Ye ek adab hai.. Lehaza Aam logo ko tho Ulama ki tazeem baja lana zaruri hai

ALLAH pak hame Ulama ka adab o ehteraam ata farmaye ameen summa ameen


No comments