Islam Me Aatishbaji Haram Hai

Islam Me Aatishbaji Haram Hai :

Afsos ! Aatishbaji Ki Napaak Rasm Ab Musalmano Me Zor Pakadati Ja Rahi Hai, Musalmano Ka Lakho-Karodo Rupiya Har Saal Aatishbaji Ki Nazr Ho Jata Hai. Aur Aaye Din Yeh Khabare Aati Hai Ke – “Falah Jagah Aatishbaji Se Itne Ghar Jal Gaye Itne Log Aag Me Jhulas Kar Marr Gaye Vagaira Vagaira !!!”

Ismey Jaan Ka Khatra Maal Ki Barbadi Aur Makaan-o-Dukaan Me Aag Lagne Ka Andesha Hai, Fir Iss Kaam Me Allah Taala Ki Razamandi Kaise Ho Sakti Hai?

Qaul-e-Mubarak: Hazrate Mufti Yaar Khan (Rahmatullah Alayh) Farmatye Hai “Aatishbaji Banana, Bechna, Kharidna, Kharidwana, Chalana Aur Chalwana Sab Haraam Hai”

(Islami Zindagi, Safa 78 )

No comments