Chori ya Gumshuda Chiz ka Pata Lagane Ke Liye Quran Sharif Se Faal Kholna Mana Hai

Chori ya Gumshuda chiz ka pata lagane ke liye faal kholna Kaisa :

1. Goomshuda shay ki daryaft ke liye Yaaseen sharif se naam nikaala jaaye ya kisi aur tarah chor ka pata ma'loom kiya jaaye, ye sab tareeqe burey aur nuqsaan dene waale hain, aur inse jiska naam nikle usko chor samajhna haraam hai.

2. Faal ek qism ka istekhaara hai, istekhaara ki asl hadees ki kitaabo me khoob maujood hain, magar ye faal naame jo awaam me mash-hoor hain aur buzurgo se jo jorey jaate hain be bunyaad aur bekaar hain.

Qur'an-e Azeem se faal kholna mana' hai.

Fataawa Razwiya (new): 23/396,397

No comments