बालों पर डाई या कलर करने का मसला Baalo Hair ko Dye ya colour karne ka Masla


Baalo ko khizaab lagaana/Dye ya colour karna

Baalo ko kaala karna haraam hai.

Burhaape ki safaydi ko black ke siwa kisi 2sre colour se badalne ki ijaazat hai.

Rasoolullah (Sallallahu Alayhe wa Sallam) ne farmaya:

Burhaape ki safaidi ko kisi chiz se badal do, aur siyaah (Black) rang se bacho.

-Muslim sharif: 2/199

-Abu Daawood sharif

-Nasaayi sharif

-Ibne Maajah

-Musnad Imam Ahmad bin Hambal


Baalo ko kaala karne waale Jannat ki khushboo bhi na soonghenge.

-Musna Imam Ahmad bin Hambal: 1/273

-Abu Daawood sharif.

-Nasaayi sharif.

-Ibne Habbaan.

-Mustadrak Kaakim.

-Sunan Bayhaqi.


Allah Ta'aala qiyaamat ke din baalo kaala karne waalo ki taraf rahmat ki nazar na farmayega.

Kanzul ummaal: Hadis no. 17331


Zard (Yellow) rang Momin ka, Surkh (Red) Musalmaan ka, aur Kaala (Black) kaafir ka hai.

Mustadrak Haakim: 3/526


Sabse pehle baalo ko mehndi (henna) Hazrat Ibraaheem (AlayhisSalaam) ne lagayi


Sabse pehle baalo ko kaala fir'aun (Pharaoh) ne kiya.

-Alfirdaus: Hadis no. 47

Fataawa Razwiya (new): 23/496-496-498

No comments