शिर्क किसे कहते हैं (SHIRK KYA HAI) ?








⏹SHIRK KYA HAI:

🔹ALLAH paak ke zaat o sifaat me kisiko shareek karna yani jaisa ALLAH ka hai waisa hi kise aur ke liye maanna shirk hai.

Jaise ALLAH ke alawa kisiko ibadat ke layiq samajna shirk me aata hai.

🔹Zaat o sifaat me shareek tahrane ke kuch zaruri conditions hai agar wo paaye jaye tab hi shirk hoga warna nahi.


ALLAH ke alawa kisiko ibadat ke layiq samjna shirk hai, kisi aur ko wajibul wajood manna yani jiske wajood ke liye koi chiz sabab na bane balke wo dusro ke liye sabab bane wo wajibul wajood.

🔹 SIFAAT me sharik 3 conditions ke sath hua to shirk hoga :

1. ALLAH paak ke sifaat zaati hai yani uske khudke hai usey kisine nahi diye

2. ALLAH ke sifaat ghaire faani hai yani hamesha se hai aur rahenge kabhi khatam nahi honge.

3. ALLAH ke sifaat la-mahdood hai yani koi hadh nahi.

Isliye shirk kahne se pahle hame ye sab dekhkar kisiko mushrik kahna chahiye, in chizo ka difference ke bina hum koi faisla nahi karsakte warna kahne wala khud kafir hojayenga



EXAMPLE:

ALLAH paak dekhta hai ye uski ek sifaat hai. Aur hum bi dekhte hai. Aam insan yahi samjega ke ye dekhna tho shirk hojayga kyuki ALLAH ki sifaat hum apne liye bi manre, par yaad rahe sifaat 3 conditions ke sath farq rakha gaya (👆🏻upar tafseel hai)

Hamara dekhna shirk nahi kyuki

ALLAH ka dekhna zaati hai aur hamara dekhna atayi hai yani ALLAH ne hame diye dekhne ki taqat

ALLAH ka dekhna ghaire faani hai aur hamara fana hone wala

ALLAH ka dekhna la-mahdood hai aur hamara mahdood hai.

(📚Darulifta Ahlesunnat)

Wallahu alam

No comments