हराम और सूद ब्याज खाने वालो के लिए सज़ा (Haraam Byaaj Khane se Dua Qubool Nahi Hoti) :




➤ Haraam Khane se Dua Qubool Nahi Hoti:

🔹Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم ne ek shakhs ka zikr kiya jo taweel safar karta hai, jis ke baal pareshan aur badan dhool aalood hai aur usne haat aasmaan ki taraf utha kar Yaa Rab Yaa Rab kahta hai halaanki USKA KHANA HARAAM HO, PEENA HARAAM, LIBAS HARAAM AUR GHIZA HARAAM, PHIR USKI DUA KAISE QUBOOL HOGI.

📚المسند للامام احمد ابن حنبل، مسند ابی ھریرہ، الحدیث#٨٣۵٦.


➤Haraam Khane Se Dua Qubool Nahi Hoti:

🔹Rasolullah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: 
banda haraam ka luqma apne pet me daalta hai to us ke 40 din ke amal qubool nahi hote jis bande ka gosht haraam aur sood se pala bada ho uske liye aag zyada behtar hai.

📚المعجم الاوسط # ٦۴٩۵.

➤Sood se Pagal pan failta Hai :

🔹Farmane Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم hai:

jis qaum me sood phailta hai us qaum me pagal pan phailta hai.

📚کتاب الکبائر للذھبی، الکبیرة الثانیہ عشرة، ص٧٠.

➤Sood Khana Jaise Apni Maa Se Zina Karna :

🔹Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم Ka Farmane Ibrat Nishan Hai:
beshak sood (intrest) ke 72 darwaze hai, in me se kam tareen aise hai jo koi mard apni maa se zina kare.

📚المعجم الاوسط، الحدیث # ٧١۵١.
📚شعب الایمان، الحدیث # ۵۵٢.



➤Halal wa Haraam ki Tameez Ka Khatm Hona:

🔹Farmane Mustafa صلی اللہ علیہ وسلم hai:

logon par ek zamana aisa aayega ki aadmi parwah bhi na karega ki is cheez ko kahan se haasil kiya hai halal se ya haraam se.

📚صحیح البخاری، کتاب البیوع، باب قول اللہ تعالیٰ: یاایھاالذین آمنو لا تاؑکلو الربا، الحدیث # ٢٠٨٣.

➤Sood Khor Ka na Nafl Qubool Hoga na koi Farz :

🔹Hazrat Sayyiduna Abdullah bin Abbas ؓ  Se Marvi Hai:
"sood khor ka na sadqa qubool kiya jayega , na Jihad , na Hajj aur na hi silah rahmi".

📚تفسیر قرطبی، البقرة، تحت الآیة: ٢٧۴، ج٢، الجزء الثالث، ص٢٧۴.

➤Maale Haraam Se Kiya Gaya Sadqa Maqbool Nahi :

🔹Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaya:
jo banda maal e haraam hasil karta hai agar usko sadqa kare to maqbool nahi aur kharch akare to us ke liye us me barakat nahi aur chorh kar marega to jahannum me jane ka samaan hai. 

🔹Allahعزوجل burayi se burayi ko nahi mitata haan neki se burayi ko mita deta hai, beshak khabees ko khabees nahi mitatha.

📚المسند للامام احمد بن حنبل، مسند عبداللہ بن مسعود، الحدیث # ٣٦٧٢.

No comments