क़ुरआन में आयते सज़दा और सज़दा ए तिलावत का तरीका (QURAN ME KITNI SAJDE KI AYATEIN HAI AUR SAJDAE TILAWAT KA TARIKA)
QURAN ME SAJDE KI AYATEIN:
Quran me kul 14 aisi ayate hai jinke padne ya sunne se sajdae tilawat wajib hojata hai. Wo ayate ye hai..
2)para 13 sureh ra'ad ayat 15.
3)para 14 sureh nahl ayat 49.
4)para 15 sureh Bani israil ayat 107-109.
5)para 16 sureh maryam ayat 58.
6)para 17 sureh hajj ayat 18.
7)para 19 sureh furqaan ayat 60.
8)para 19 sureh namal ayat 25-26.
9)para 21 sureh as'sajda ayat 15.
10)para 23 sureh swaad ayat 24-25.
11)para 24 sureh haa'meem sajda ayat 37-38.
12)para 27 sureh najm ayat 62.
13)para 30 sureh al'inshiqaaq ayat 20-21.
14)para 30 sureh alaq ayat 19.
(📚Bahare Shariat jild-1)
🔸SAJDAE TILAWAT KA TARIQA:
➤Khade hokar "Allahuakbar" kahte hue sajde me jaye aur kam az kam 3 bar "Subhana rabbiyal a'ala" kahe aur "Allahuakbar" kahte hue wapas khade hojaye.
➤Pahle aur piche "Allahuakbar" kahna sunnat hai aur khadey hokar sajde me jana aur phir wapas khade hona ye dono mustahab hai.
(📚Fatwae Hindiya kitabus Salat jild-1)
🔸 Mamnua Awqaat Me Sajdah Tilawat karna:
tulu e aaftab, zawal e aaftab, ghurub e aaftab ... in waqton ko awqaat e mamnu kahte hain.
mazkurah awqaate mamnua me tilawat e Qur'aan makruh nahi, agar mamnu waqt me tilawat karte hue aayat e sajdah ki tilawat ki jaye to sajdah e tilawat karna baghair kisi karahat ke jaaiz hai.
agar aayat e sajdah ki tilawat in waqton ke alawa me hua aur tilawat karne wala wajib shuda sajdah e tilawat in (makruh) awqaat me karna chahe to shar'an durust nahi.
✍🏻ولو تلاھا فی وقت مباح فسجدھا فی اوقات مکروھة لم تجز ولو تلاھا فی اوقات مکروھة فسجدھا فی ھذہ الاوقات جاز۔
📚عالمگیری، ج١،ص١٣۵،باب سجود التلاوة.
Post a Comment