क्या हालाते जनाबत में रोज़ा टूट जाता हैं. (ROZE ME EHTELAM (Wet Dream) KA MASLA)




🔸ROZE ME EHTELAM (Wet Dream) KA MASLA:

Janabath (ghusl farz hone) ki halat me subha ki balke agarche sara din Junoob (be-ghusl) raha tab bhi roza nahi tootega par aisa rehkar namaze chhodna sakht gunah hai.

(📚Durre Mukhtar Jild-3)

▶Roze me Janabath (impurity) yani ghusl farz hone ki surat me ghusl zarur karlena chahiye par yaad rahe ghusl me kulli karte waqt pani halaq ke niche na utre aur naak me haddi se upar pani na chadaye ke pet me dakhil hone ki surat me roza toot jayega. Aur phir baad ghusl  namaze ada kare.

(📚Fatwae Nizamia, kitabus saum)

Aise Masail aam logo ko nahi malum hai, lehaza ziada se ziada logo tak ilmi batein pahunchaye...

No comments