MUFASSIRE AZAM HAZRAT IBRAHIM RAZA ALAIHIRRAHMA (हुज़ूर ताजुश्शरीया के वालिद )




Father Of Huzur Tajush Shariya


(हिन्दी  के लिए नीचे जाए )

Biography Of Huzoor Mufassire Aazam Hazrat Maulana Ibraheem Raza Khan Jilani Miya, Baraily Sharif.



MAULANA IBRAHEEM RAZA KHAN:

(Father Of Huzoor Tajush Shariya)


➤Aap silsilaye aaliya qadiriya barkatiya razviya nooriya ke 42we mashayakhe kiraam hain,aapki wiladat 10 rabiul aakhir 1325 hijri bamutabiq 1907 eesvi baraily sharif me huyi,aapke waalid ka naam hujjatul islam hazrat muhammad haamid raza khan raziyallahu taala anhu aur waalida ka naam kaneez aisha tha,Aalahazrat azimul barkar raziyallahu taala anhu aapke daada the unhone hi aapke kaan me azaan di aur ek khajoor chabakar aapke munh me daala,aapka naam muhammad rakha gaya waalid ne ibraheem aur waalida ne jilani miyan tajweez kiya aur laqab mufassire aazam hua.

Aalahazrat azimul barkat raziyallahu taala anhu ne aapka aqeeqa badi dhoom dhaam de kiya,4 saal 4 mahine aur 4 din ki umr me aapki bismillah khwani ki gayi aur 7 saal ki umr me daarul uloom manzare islam me daakhila karaya gaya jahan se aapne 19 saal ki umr me 1344 hijri me tamam uloom se faragat haasil ki aur hujjatul islam raziyallahu taala anhu ne aapke sar par dastaar baandhi,aapko huzoor muftiye aazam hind raziyallahu taala anhu wa aapke waalid ki bhi ijazato khilafat haasil thi.


➤FAMILY OF HAZRAT IBRAHIM RAZA SAHAB:


Aapka nikah aapke chacha yaani huzoor muftiye aazam raziyallahu taala anhu ki badi sahabzaadi nigaar faatima se hua jinse aapko 8 auladein huyin 5 bete aur 3 betiyan,beton ke naam hasbe zail hain :

"Hazrat Allama Rehan raza khan.

Hazrat Allama Akhtar raza khan (Huzoor Taj-us Shariya).
Hazrat Qamar raza khan.
Hazrat Mannan raza khan.
Hazrat Tanveer raza khan."


1372 hijri me aapne harmain sharifain ka safar kiya aur wahan ke bade bade ulmaye kiram ne bhi aapko ijazato khilafat ata ki,aap ek behtareen ustaaz aur aala munazir the aapki taqreer se bahut saare wahabiyon ne tauba karke islaam qubool kiya,aap ek saahibe karamat buzurg the.


💚BOOKS OF MUFASSIRE AZAM💚

Aapne chund kitabein tasneef farmayi hai jisme  Zikrullah, Nematullah, Hujjatullah, fazaile durood sharif, Tafseere surah Balad aur Tashreeh Qasidaye Nomania shaamil hai.

 

💚KARAMAT💚

➤Ek baar ek paidayishi goonga shakhs aapki baargah me laaya gaya aapne uske liye dua farmayi aur fauran hi wo bolne laga,aapki is karamat ko dekhkar bahut saare gair muslimo ne tauba ki aur islaam qubool kiya.

➤Ek shakhs ko khoon ke ilzaam me be kasoor pakad liya gaya tha uske ghar waale aapke paas dua ke liye aaye to aapne uske liye dua ki ek taweez diya aur durood sharif ka wird karne ko kaha,10 din baad wo log phir aaye aur apne saath usi shakhs ko saath laaye jo ki be kasoor saabit ho chuka tha aur use riha kar diya gaya.


💚HAZRAT IBRAHIM RAZA KA WISAAL💚

"Aapka wisaal 11 safar 1385 hijri peer ke din hua, hazrat mufti sayyad afzal husain sahab ne aapki namaze janaza islamiya inter collage me padhayi aur Aalahazrat ke aastane me hi aapko dafn kiya gaya"

The chain of light, jild 2,safah 203



हुजूर मुफस्सिरे आज़म हज़रत मौलाना इब्राहीम रज़ा खान उर्फ़ जीलानी मियां अलैहिर्रहमा (वालिद हुज़ूर ताजुश्शरीया),बरेली शरीफ

मौलाना इब्राहीम रज़ा खान :

➤आप सिलसिलाये आलिया क़ादिरिया बरकातिया रज़विया नूरिया के 42वें मशायखे किराम हैं,आपकी विलादत 10 रबिउल आखिर 1325 हिज्री बामुताबिक़ 1907 ईसवी बरेली शरीफ में हुई,आपके वालिद का नाम हुज्जतुल इस्लाम हज़रत मुहम्मद हामिद रज़ा खान रज़ियल्लाहु तआला अन्हु और वालिदा का नाम कनीज़ आईशा था,आलाहज़रत अज़ीमुल बरकर रज़ियल्लाहु तआला अन्हु आपके दादा थे उन्होंने ही आपके कान में अज़ान दी और एक खजूर चबाकर आपके मुंह में डाला,आपका नाम मुहम्मद रखा गया वालिद ने इब्राहीम और वालिदा ने जीलानी मियां तजवीज़ किया और लक़ब मुफस्सिरे आज़म हुआ.

➤आलाहज़रत अज़ीमुल बरक़त रज़ियल्लाहु तआला अन्हु ने आपका अक़ीक़ा बड़ी धूम धाम से किया,4 साल 4 महीने और 4 दिन की उम्र में आपकी बिस्मिल्लाह ख्वानी की गई और 7 साल की उम्र में दारुल उलूम मंजरे इस्लाम में दाखिल कराया गया जहां से आपने 19 साल की उम्र में 1344 हिजरी में तमाम उलूम से फराग़त हासिल की और हुज्जतुल इस्लाम रज़ियल्लाहु तआला अन्हु ने आपके सर पर दस्तार बाँधी,आपको हुज़ूर मुफ्तिए आज़म हिन्द रज़ियल्लाहु तआला अन्हु व आपके वालिद की भी इजाज़तो खिलाफत हासिल थी.

आपका निकाह आपके चचा यानि हुज़ूर मुफ्तिए आज़म रज़ियल्लाहु तआला अन्हु की बड़ी साहबज़ादी निगार फातिमा से हुआ जिनसे आपको 8 औलादें हुई 5 बेटे और 3 बेटियां,बेटों के नाम हस्बे ज़ैल हैं.

हज़रत अल्लामा रेहान रज़ा खान
हज़रत अल्लामा अख्तर रज़ा खान (हुज़ूर ताजुश्शरिया)
हज़रत क़मर रज़ा खान
हज़रत मन्नान रज़ा खान
हज़रत तनवीर रज़ा खान

आपने चंद किताबें तस्नीफ फरमाई है जिसमे ज़िक्रुल्लाह, नेअमतुल्लाह, हुज्जतुल्लाह, फ़ज़ाइले दरूद शरीफ, तफ़्सीरे सूरह बलद और तशरीह कसीदए नोमनिआ शामिल है

1372 हिजरी में आपने हरमैन शरीफैन का सफर किया और वहां के बड़े बड़े उल्माए किराम ने भी आपको इजाज़तो खिलाफ़त अता की,आप एक बेहतरीन उस्ताज़ और आला मुन्तज़िर थे आपकी तक़रीर से बहुत सारे वहाबियों ने तौबा करके इस्लाम कुबूल किया,आप एक साहिबे करामत बुज़ुर्ग थे.

💚करामत💚


एक बार एक पैदाइशी गूंगा शख्स आपकी बारगाह में लाया गया आपने उसके लिए दुआ फरमाई और फौरन ही वो बोलने लगा,आपकी इस करामत को देखकर बहुत सारे गैर मुस्लिमो ने तौबा की और इस्लाम क़ुबूल किया.

एक शख्स को खून के इल्ज़ाम में बे कसूर पकड़ लिया गया था उसके घर वाले आपके पास दुआ के लिए आये तो आपने उसके लिए दुआ की एक तावीज़ दिया और दरूद शरीफ का विर्द करने को कहा,10 दिन बाद वो लोग फिर आये और अपने साथ उसी शख्स को साथ लाये जो कि बे कसूर साबित हो चुका था और उसे रिहा कर दिया गया.

"आपका विसाल 11 सफर 1385 हिज्री पीर के दिन हुआ,हज़रत मुफ़्ती सय्यद अफज़ल हुसैन साहब ने आपकी नमाज़े जनाज़ा इस्लामिया इंटर कालेज में पढ़ाई और आलाहज़रत के आस्ताने में ही आपको दफन किया गया."

द चेन ऑफ लाइट,जिल्द 2,सफह 203