जिसने इस सुरह की तिलावत की वो अज़ाबे कब्र से रहेगा महफूज़...पढ़कर दूसरों तक शेयर करें...


Surah Mulk Ki Fazilat 


Qabr ke under Sauratul Mulk ki Tilawat : 

Hazrat Sayyiduna Ibn Abbas رضی اللہ عنہما Farmate Hain Ke Ek Sahabi ؓ  ne ek qabr par apna khaima lagaya magar inhen ilm na tha ke yahan qabr hai lekin bad me pata chala ke wahan kisi shakhs ki qabr hai jo *Surah Mulk* padh raha hai aur is ne puri surat khatm ki


Wo sahabi ؓ  ne Rasoolullah صلی اللہ علیہ و سلم ke bargah me hazir hue aur arz kiya :


"Ya Rasool Allah صلی اللہ علیہ و سلم main ne ek qabr par khaima tan liya magar mujhe malum na tha ke wahan qabr hai jabke wahan ek aise shakhs ki qabr hai jo rozana puri Surah Mulk padhta hai-" to


Rasoolullah صلی اللہ علیہ و سلم ne Farmaya : "yahi rokne waali hai , yahi najat dilane waali hai, jisne ise azab e qabr se mahfooz rakha_".*


*📚Sunan Tirmizi, Hadees # 2899.*





Suratul Mulk ke Tilawat Karne Wale ki Shafa'at :


Rasoolullah صلی اللہ علیہ و سلم ne Farmaya:


Beshak Qur'an me 30 Aayaton Par Mushtamil Ek Surat Hai Jo Apne Qaari (padhne wale) ke Liye Shafa'at Karti Rahegi Yahan tak ke is ki *Maghfirat* Kardi Jayegi aur Ye تبٰرک الذئ بیدہ الملک *Tabarakallazi Biyadihil Mulk* Hai.


*📚Sunan Tirmizi # 2900.*