ILME DEEN SIKHNA HAR MUSLALMAN MARD WA AURAT PAR FARZ HAI



HADEES ILME DEEN SIKHNA FARZ HAI : 

(हिंदी के लिए नीचे जाए )


ILME DEEN SIKHNA FARZ HAI
ILME DEEN SIKHNA FARZ HAI

HADEES - Rasool ALLAH sallallahu taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki "ilme deen seekhna har musalman mard wa aurat par farz hai"


📕 Ibne maaja,jild 1,safah 224


HADEES - Raat me ek ghadi ilme deen ka padhna padhana poori raat ibadat karne se behtar hai


📕 Anwarul hadees,safah 114


HADEES - Jo ilme deen ke raaste par hai to wo jannat ke raaste par hai


📕 Ibne maaja,jild 1,safah 145


HADEES - Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki "jab insaan mar jaata hai to uske saare aamaal munqata ho jaate hain magar teen amal ka sawaab jaari rahta hai jiska sawab murda qabr me bhi paata hai


1. Sadqaye jaariya-yaani koi aisi cheez sadqa kar gaya maslan madarse me quran rakhwa diya ya wuzu khaana banwa diya ya paani ka aur koi kaam karwa diya garz ki jo uske marne ke baad bhi baaki rahe to use sadqaye jaariya kahte hain,iska sawab marne ke baad bhi milega


2. Ilm-yaani aisa chhod gaya ya logon ko sikha gaya jisse ki log faayda uthaate hon to uske marne ke baad bhi jitne log uspar amal karte rahenge qabr me bhi usko sawab milta rahega


3. Neik aulaad-yaani jo bhi amle khair uski aulaad karegi ya dua karegi to qabr me uske waalidain ko bhi ajr milta rahega,aur kisi ke amal me koi bhi kami na hogi


📕 Tirmizi,hadees 1376


HADEES - Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki "Aalim ki fazilat aabid par aisi hai jaisi meri fazilat tumhare adna par"  


 MUFTI AUR AALIM KI FAZILAT (मुफ़्ती और आलिम की फज़ीलत)  


📕 Tirmizi,jild 2,safah 244 



HADEES - Jo ilme deen ke liye chalega to farishte uski raah me apna par bichha dete hain aur unke liye zameeno aasman ki har cheez yahan tak ki paani me machhliyan bhi magfirat ki dua karti hain aur aalim ki fazilat aabid par aisi hai jaisi chaudhwin raat ke chaand ki fazilat sitaron par hoti hai aur ulma ambiya ke waaris hain


📕 Abu daood,jild 3,safah 99


HADEES - ALLAH taala jiske saath bhalayi ka iraada karta hai to use deen ki samajh (FIQAH) ata farmata hai


📕 Bukhari,jild 1,safah 137


HADEES - Ek aalim shaitan par 1000 aabidon se zyada bhaari hai


📕 Tirmizi,jild 2,safah 242


HADEES - Behtareen ibaadat FIQAH hai,aur fiqah ke bagair koi ibaadat nahin aur faqeeh ki majlis me baithna 60 saal ki ibaadat se behtar hai


📕 Kanzul ummal,jild 10,safah 100


HADEES - Jisne kisi aalim ki tauheen is bina par ki ki wo aalime deen hai so wo kaafir hua


📕 Anwarul hadis,safah 91





हदीस - हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं "इल्मे दीन सीखना हर मुसलमान मर्द व औरत पर फर्ज़ है


📕 इब्ने माजा,जिल्द 1,सफह 224


हदीस - रात में एक घड़ी इल्मे दीन का पढ़ना पढ़ाना पूरी रात इबादत करने से बेहतर है 


📕 अनवारुल हदीस,सफह 114


हदीस - जो इल्मे दीन के रास्ते पर है तो वो जन्नत के रास्ते पर है 


📕 इब्ने माजा,जिल्द 1,सफह 145


हदीस - हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि "जब इंसान मर जाता है तो उसके सारे आमाल मुनक़तअ हो जाते हैं मगर तीन अमल का सवाब जारी रहता है जिसका सवाब मुर्दा क़ब्र में भी पाता है


1. सदक़ये जारिया-यानि कोई ऐसी चीज़ सदक़ा कर गया मसलन मदरसे में क़ुरान रखवा दिया या वुज़ू खाना बनवा दिया या पानी का और कोई काम करवा दिया गर्ज़ कि जो उसके मरने के बाद भी बाकी रहे तो उसे सदक़ये जारिया कहते हैं,इसका सवाब मरने के बाद भी मिलेगा


2. इल्म-यानि ऐसा इल्म छोड़ गया या लोगों को सिखा गया जिससे कि लोग फायदा उठाते हों तो उसके मरने के बाद भी जितने लोग उस पर अमल करते रहेंगे क़ब्र में भी उसको सवाब मिलता रहेगा 


3. नेक औलाद-यानि जो भी अमले खैर उसकी औलाद करेगी या दुआ करेगी तो क़ब्र में उसके वालिदैन को भी अज्र मिलता रहेगा,और किसी के अमल में कोई भी कमी ना होगी 


📕 तिर्मिज़ी,हदीस 1376


हदीस - हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि "आलिम की फज़ीलत आबिद पर ऐसी है जैसी मेरी फज़ीलत तुम्हारे अदना पर


📕 तिर्मिज़ी,जिल्द 2,सफह 244

हदीस - जो इल्मे दीन के लिए चलेगा तो फरिश्ते उसकी राह में अपना पर बिछा देते हैं और उनके लिए ज़मीनों आसमान की हर चीज़ यहां तक कि पानी में मछलियां भी मग़फिरत की दुआ करती हैं और आलिम की फज़ीलत आबिद पर ऐसी है जैसी चौदहवीं रात के चांद की फज़ीलत सितारों पर होती है और उल्मा अम्बिया के वारिस हैं | 


📕 अबु दाऊद,जिल्द 3,सफह 99


हदीस - अल्लाह तआला जिसके साथ भलाई का इरादा करता है तो उसे दीन की समझ (फिक़ह) अता फरमाता है| 


📕 बुखारी,जिल्द 1,सफह 137


हदीस - एक आलिम शैतान पर 1000 आबिदों से ज़्यादा भारी है | 


📕 तिर्मिज़ी,जिल्द 2,सफह 242


हदीस - बेहतरीन इबादत फिक़ह है,फिक़ह के बग़ैर कोई इबादत नहीं और फक़ीह की मजलिस में बैठना 60 साल की इबादत से बेहतर है


📕 कंज़ुल उम्माल,जिल्द 10,सफह 100


हदीस - जिसने किसी आलिम की तौहीन इस बिना पर की कि वो आलिमे दीन है काफिर है


📕 अनवारुल हदीस,सफह 91