⏹ MUFTI AUR AALIM KI FAZILAT (मुफ़्ती और आलिम की फज़ीलत)
https://islamknowladge.blogspot.com |
"Beshak Ulama (Aalim) Anbiya Alaihis Salam ke Waaris hai, beshak Anbiya alaihis salam ne dirham o dinaar meeras (property) na chhodi balke ilm ko meeras chhoda hai, pas jo ilm hasil kare usne bada hissa haasil kiya."
(📚Abu Dawood jild-4 hadees-3641)
"NABI E KARIM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI BAHOT SI AISI HADEES SHARIF HAI JO ULEMA (MUFTI AUR AALIM) KI SHAN ME MILTI HAI...SBSE PAHLE NABI E KARIM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE JO FARMAYA VO BAYAN KARTE HAI."
TARZUMA : Aalim Ke Chehre Pe Nigah Dalna Ibadat Hai.
➤ Man Zara Al Ulema Faqat Zarani.
TARZUMA : Jisne Ulema Ki Ziyarat Ki Usne Meri Ziyarat Ki.
"Aalim ki fazilat aabid par aisey hai jaise meri fazilat tumhare kamtar (aam insan) par."
(📚Tirmizi Jild-4 hadees-2694)
⏹Jisne ek Aalim Ki Touheen ki Qayamat me ALLAH se is halat me mulakat karega ki ALLAH uske upar gazab naak hoga.
(📚Tirmizi Sharif)
(📚Shu'ab ul iman jild-2 hadees-1767)
⏹ALLAH paak jiske sath bhalayi ka irada karta hai usey Deen ki samaj ata karta hai.
(📚Sahih Bukhari jild-1)
⏹ 3 Tarah ke log Qayamat ke din Shafa'at karege or unki Shafa'at Qabul ho jaygi.
1) Anbiya Alaihissalam.
2) Ulema Ikram.
3) Shohda.
❤QUAL-E-MUBARAK❤
➤ Aalim ke Qalam ki Roshni (Ink), Shaheed ke khoon se jyada mukaddas hai. (Hazrat Bilal Radi'Allahu Anhu)
➤ Ek Aalim apni Mout ke baad bhi Zinda hai jbki Zahil Murda Hai fir chahe Vo Zinda hi kyu na ho.
➤ Aalim ki Geebat karne vala Qayamat ke Roz aise ayega ki, uski peshani par likha hoga "ALLAH KI REHMAT SE DOOR"
(Imam Gazali / Muk Qulub)
➤ Ilm aisi khubsurti hai jo Chhupi (Hidden) rehti hai Aur Aisa Rishta hai Jo Munqata (Disconnect) nahi Hota.
(Hazrat Ali Radi'Allahu Anhu)
Post a Comment