Hazrat Maulana Naqi Ali Khan Rahmatullah Alaihi (आलाहज़रत के वालिदे मोहतरम)


Aalahazrat azimul barkat Imaam Ahmad Raza khan raziyallahu taala anhu ke waalide maajid rayisul atqiya hazrat Maulana Naqi Ali khan Quddesu Sirrahu ki wiladat 1 rajab 1246 hijri Baraily sharif me huyi.  

➤Aapne uloome deeniya apne waalide maajid hazrat maulana raza ali khan quddesu sirrahu se seekha aur unhi ki tarah sakhawat shuja'at karam murawwat jalalat ilm fazayal sab kuchh haasil kiya aur farasat ki to kya baat jo kah dete wahi zahoor me aata

➤1294 hijri maarahra mutahra haazir hokar hazrat aaqaye nemat sayyadna sarkaar shah aale rasool marahravi raziyallahu taala anhu se baiayt farmayi aur hazrat ne tamam salasil ki khilafato ijazat ata farmayi

➤1295 hijri me bawajood marz ke hajj par rawana hue

➤Aapne taqriban 25 ke qareeb kitabein tasneef farmayi jinme se chund hi chhap saki

➤ Aapka nikah asfandar yaar beig ki badi sahab zaadi hazrate husaini khaanam se huyi jinse aapko 6 auladein huyi 3 bete aur 3 betiyan,sabke naam hasbe zail hain.

1.Imaam Ahmad raza khan
2.Maulana hasan raza khan
3.Maulana muhammad raza khan
4.Hijaab begum zauja waaris ali khan
5.Ahmadi begum zauja shah iran khan
6.Muhammadi begum zauja kifayat ullah khan

➤ 29 zil qaada 1297 hijri din jumerat ko baad namaze zuhar aapka wisaal hua,haalate naza me dekha gaya ki aap be hoshi ke aalam me bhi apne aazaye wuzu par haath pherte hain goya ki wuzu farma rahe hain yahan tak ki takbeer bhi boli aur apne maabode haqiqi se ja mile.

(📕 Hayate Aalahazrat,jild 1,safah 88-101)