ADOPTED CHILD KE BAREME AHEM MASAIL:


🔸 Sureh Ahzab ayat no-4 me hai

"Aur us (ALLAH ta'ala) ne tumhare muh bole beto ko tumhare (haqiqi) beta nahi banaya, ye sab tumhari khudsaqta batein hai. ALLAH ta'ala haq(baat) irshaad farmata hai aur wo rahe raast ki janib rahnumayi farmata hai."
(📚Sureh Ahzab ayat-4)

🔸Sureh Ahzab ayat -5 me hai

"Unhe unke (haqiqi) baap ki nisbat se pukaro."
(📚Sureh Ahzab ayat-5)


In ayato ki roshni me Adopted child ka nasab badalna mana hai, ha unki parwarish karna unka khayal karna, unhe paalna ye sab sawab ka kaam hai..bachche ke baap ke naam ke sath uske haqiqi baap ka naam hi istemal ho.
(📚Tafheemul Masail jild-1 page-317)


Kuch Ulamae kiraam ne kaha ke documents me haqiqi baap ka naam likhne se agar bachche ke future me koi masail pesh aasakte tho documents me apna naam likhne ki ijazat nikalsakti hai magar sabko ye zarur bataye ke haqiqi baap wo nahi hai.

(📚Darulifta Ahlesunnat)

No comments