🔸 MAUT KO KASRAT SE YAAD KARO
📗 Hadees E Mubaraka..
Farmane Mustafa(Sallallahu Alaihay Wassallam) Hai Ke, “Lazzaton Ko Khatm Karne Waali Maut Ko Kasrat Se Yaad KiyaKaro”.-
(Sahih Bukhari)
📗 Hadees E Mubaraka.
Hazrat Abu Hurera(Razi Allaho Anhu) Ne Kaha Ke,(Sallallahu AlaihayWassallam) Ne Farmaya Ke,
“Tum Me Koi Mout Ki Aarzoo Na Kare
(Isliye Ke) Woh Ya Toh‘ Nekokar’ Hoga, Toh Mumkin Hai Iss Ke Nek Amal Me ‘Ziyadati’ HoJaye. Aur Ya ‘Badkar’ Hoga, Toh Ho Sakta Hai Ke Aainda Tauba Kar Ke Allah Ki ‘Khushnoodi’ Haasil Karle”.-
(Bukhari Shareef),
Anwar-Ul- Hadees, Page Number 226)
Qaul-E-Mubarak
“Mout Ko Hamesha Yaad Rakho, Magar Mout Ki Aarzoo Kabhi Naa Karo”.
- Hazrate Umar (Razi Allaho Anhu)
Qaul-E-Mubarak
“Mout Ko Yaad Rakhna Nafs Ki Tamaam Bimaariyo Ki DawaaHai”.
- Hazrate Gaus-E-Aazam(Rahmatullah Alayh)
💚 "ALLAHUMMA SALLIALA SAYYEDNAMUHAMMADIM BIADADI KULLIZIKARIHI ALFA ALFI MAR-RATIN"
Post a Comment