🔸RAJAB KE ROZO KI FAZILAT

📖Hzt Anas Bin Malik RaziALLAHU anhu se riwayat hai ke pyare NABI sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya:

Jannat Me ek naher(river) hai jiska naam RAJAB hai, jo doodh se ziyada safedh aur shahed se ziyada meeti hai, jo koi Rajab ka ek roza rakhega ALLAH paak usko us naher se sairaab karega.

(📚Shu'abul imaan jild-3 hadees-3800)

Beej (seed) Bone Ka Mahina

Hazrat Sayyiduna Saffuri  Rahmatullah Alaih Farmate Hain :

Rajab ul Murajjab beej bone ka mahina hai'
Sha'ban ul Mu'azzam aab paashi (yani pani dene) ka aur
Ramadan ul Mubarak fasal kaatne ka mahina hai.

Lihaza jo Rajab me Ibadat ka beej nahi bota aur Sha'ban me aansuvon se sairaab nahi karta woh Ramadan ul mubarak me fasal e Rahmat kyon kar kaat  sakega ?

Mazeed Farmate hain: Rajab ul Murajjab JISM KO,

Sha'ban ul Mu'azzam DIL KO, ... Aur
Ramadan ul Mubarak ROOH KO PAAK KARTA HAI۔

📚 Nuzhatul Majalis, Jild 1, Saf 209.

 Pahla Roza 3 Saal Ke Gunahon Ka Kaffarah

Hazrat Sayyiduna Abdullah Ibn Abbas RadhiAllah Anhuma Se Rivayat Hai Ke Rasoolullah صلی اللہ تعالی علیہ و اٰلہ و سلم Ka Farman Rahmat Nishan Hai:

Rajab Ke Pahle Din Ka Roza 3 Saal Ka Kaffarah Hai, ...

Doosre Din Ka Roza 2 Saal Ka ... aur
Teesre Din Ka 1 Saal Ka Kaffara Hai,
Phir Har Din Ka Roza Ek Maah ka Kaffara Hai.

 الجامع الصغیر للسیوطی ، ص 311، حدیث 5051 ، فضائل شھر  رجب، للخلال، ص 8.

RAJAB KE ROZO KI FAZILAT:

1 comment: