हज़रत इदरीस अलैहिस्सलाम ।। BIOGRAPHY OF HAZRAT IDREES ALAIHISSALAM
HAZRAT IDREES ALAIHISSALAM :
*इदरीस अलैहिस्सलाम का नाम अख्नूख है कसरते दर्स की वजह से आपको इदरीस का लक़ब मिला
📕 तफसीरे सावी,जिल्द 3,सफह 32
* आपका नस्ब नामा यूं है अख्नूख बिन यूरिद बिन महलाबील बिन अनूश बिन क़ैतान बिन शीश बिन आदम
📕 अलइतक़ान,जिल्द 2,सफह 175
* आप हज़रत आदम अलैहिस्सलाम की ज़िन्दगी में पैदा हो चुके थे,आपको हज़रत आदम अलैहिस्सलाम का 100 साल का ज़माना मिला मगर नबी होने का ऐलान आपने हज़रत आदम अलैहिस्सलाम के विसाल के 200 साल बाद किया
📕 तफसीरे सावी,जिल्द 3,सफह 73
* आपने 65 साल की उम्र में बरुखा नामी औरत से निकाह किया जिससे आपको मतुशल्ख नाम का एक फरज़न्द हुआ
📕 माअरेजुन नुबूवत,जिल्द 1,सफह 67
* सबसे पहले सितारों के ज़रिये हिसाब करना,कलम से लिखना,सिला हुआ कपड़ा पहनना,चीज़ों का वज़न और कपड़ों की पैमाईश करना,और असलहों की ईजाद आपने ही की
📕 तज़किरातुल अम्बिया,सफह 63
* इदरीस अलैहिस्सलाम पर 30 सहीफे नाज़िल हुए
📕 तफसीरे खज़ाएनुल इर्फान,सफह
* आप ज़िंदा हैं मगर कहां हैं इसमें इख्तिलाफ है, बुखारी शरीफ की रिवायत के मुताबिक आप चौथे आसमान पर हैं और कअब अहबार की रिवायत के मुताबिक आप जन्नत में हैं,वाकया कुछ यूं है कि एक रोज़ आप खेतों में काम कर रहे थे सूरज की तपिश से आपकी पीठ मुबारक जल गई,आपने सोचा कि जब ये सूरज ज़मीन से 2000 साल की दूरी पर है तो हमारा ये हाल है तो जो फरिश्ता सूरज को चलाने पर मामूर होगा उसका क्या हाल होगा,ये सोचकर आपने रब की बारगाह में दुआ की कि ऐ मौला उस फरिश्ते पर जो कि सूरज पर मामूर है उसवपर रहम फरमा नबी की दुआ थी सो फौरन क़ुबूल हुई और फरिश्ते को आराम मिला,तो उसने रब की बारगाह में अर्ज़ किया कि ऐ मौला मुझपर ये नरमी किस लिए तो मौला फरमाता है कि मेरे बन्दे इदरीस ने तेरे लिए दुआ की है जिसका तुझे फायदा मिला है,तो फरिश्ता अर्ज़ करता है कि ऐ मौला मुझे अपने बन्दे का शुक्रिया अदा करने का मौक़ा दे,तो मौला ने उसको इजाज़त दे दी,वो हज़रत इदरीस अलैहिस्सलाम की बारगाह में हाज़िर होकर उनका शुक्रगुज़ार हुआ और आपसे कहा की अगर आपको मेरी कोई भी ज़रूरत हो तो बताएं मैं आपकी पूरी मदद करूंगा,तब हज़रत इदरीस अलैहिस्सलाम ने जन्नत को देखने की तम्मन्ना ज़ाहिर की तो वो कहने लगा कि मैं खुद तो इसमें आपकी कोई मदद नहीं कर सकता मगर मेरी पहचान इस्राईल से है मैं आपको उनके पास ले चलता हूं वो आपकी ज़रूर मदद करेंगे,तब आप हज़रते मलकुल मौत के पास हाज़िर हुए और पूरा वाक़िया कह सुनाया तो हज़रत इस्राईल अलैहिस्सलाम कहते हैं कि बग़ैर मरे हुए तो कोई जन्नत में नहीं जा सकता हां मैं ये कर सकता हूं कि आपकी रूह क़ब्ज़ करके फौरन आपके जिस्म में डाल दूं तो ये मुमकिन है,तो हज़रत इदरीस अलैहिस्सलाम फरमाते हैं कि ठीक है ऐसा ही करो तो उन्होंने रूह क़ब्ज़ करके फौरन जिस्म में डाल दी फिर उन्हें जहन्नम के ऊपर बने हुए पुल यानि पुल-सिरात से गुज़ारकर जन्नत में पहुंचा दिया और खुद बाहर रुक गए कि आप जन्नत की सैर करके वापस तशरीफ ले आयें,जब बहुत देर हो गई तो हज़रत इस्राईल अलैहिस्सलाम ने आपको आवाज़ दी कि हज़रत अब चला जाए तो हज़रत इदरीस अलैहिस्सलाम फरमाते हैं कि कहां चला जाये रब फरमाता है कि हर बन्दे को मौत का मज़ा चखना है सो मैं चख चुका फिर फरमाता है कि हर बन्दे को पुल-सिरात से गुज़रना होगा सो मैं वहां से भी गुज़र चुका फिर फरमाता है कि जो एक बार जन्नत में दाखिल हो गया वो कभी भी उससे बाहर नहीं निकाला जायेगा तो अब मैं यहां आ चुका और यहां से कहीं नहीं जाऊंगा,जब हज़रत इदरीस अलैहिस्सलाम ने हज़रत इस्राईल अलैहिस्सलाम को ये दलील दी तो मौला ने फरमाया कि ऐ इस्राईल मेरे बन्दे ने सच कहा और जो कुछ किया वो मेरे इज़्न से ही किया सो उसे वहीं रहने दो
📕 तज़किरातुल अम्बिया,सफह 64
* ये वाक़िया दोशम्बे के दिन पेश आया
📕 नुज़हतुल मजालिस,4,सफह 47
* किस उम्र में ये वाक़िया पेश आया इसमें कई क़ौल हैं बाज़ ने 350 साल कहा और बाज़ ने 400 साल और बाज़ ने 450 साल की उम्र बताई
📕 अलइतकान,जिल्द 2,सफह 175
📕 जलालैन,हाशिया 9,सफह 276
📕 तफसीरे सावी,जिल्द 3,सफह 73
HAZRAT IDREES ALAIHISSALAM ka naam akhnookh hai kasrate dars ki wajah se aapko idrees ka laqab mila
📕 Tafseere saavi,jild 3,safah 32
Aapka nasb naama yun hai akhnookh bin yurid bin mahlabeel bin anoosh bin qaitan bin sheesh bin aadam
📕 Alitqaan,jild 2,safah 175
Aap hazrat aadam alaihissalam ki zindagi me paida ho chuke the,aapko hazrat aadam alaihissalam ka 100 saal ka zamana mila magar nabi hone ka elaan aapne hazrat aadam alaihissalam ke wisaal ke 200 saal baad kiya
📕 Tafseere saavi,jild 3,safah 73
Aapne 65 saal ki umr me barukha naami aurat se nikah kiya jisse aapko matushalakh naam ka ek farzand hua
📕 Marejun nubuwat,jild 1,safah 67
Sabse pahle sitaron ke zariye hisaab karna,qalam se likhna,sila hua kapda pahanna,cheezon ka wazan aur kapdon ki paimayish karna,aur aslaho ki eejaad aapne hi ki
📕 Tazkiratul ambiya,safah 63
* HAZRAT IDREES ALAIHISSALAM par 30 saheefe naazil hue
📕 Tafseere khazayenul irfan,safah
* Aap zinda hain magar kahan hain isme ikhtilaf hai,bukhari sharif ki riwayat ke mutabiq aap chauthe aasman par hain aur ka'ab ahbaar ki riwayat ke mutabiq aap jannat me hain,waaqiya kuchh yun hai ki ek roz aap kheto me kaam kar rahe the suraj ki tapish se aapki peeth mubarak jal gayi,aapne socha ki jab ye suraj zameen se 2000 saal ki doori par hai to hamara ye haal hai to jo farishta suraj ko chalane par mamoor hoga uska kya haal hoga,ye sochkar aapne rub ki baargah me dua ki ki ai maula us farishte par jo ki suraj par mamoor hai uspar raham farma nabi ki dua thi so fauran qubool huyi aur farishte ko aaram mila,to usne rub ki baargah me arz kiya ki ai maula mujhpar ye narmi kis liye to maula farmata hai ki mere bande idrees ne tere liye dua ki hai jiska tujhe faayda mila hai,to farishta arz karta hai ki ai maula mujhe apne bande ka shukriya ada karne ka mauqa de,to maula ne usko ijazat de di,wo hazrat idrees alaihssalam ki baargah me haazir hokar unka shukrguzaar hua aur aapse kaha ki agar aapko meri koi bhi zarurat ho to batayein main aapki poori madad karunga,tab hazrat idrees alaihissalam ne jannat ko dekhne ki tammanna zaahir ki to wo kahne laga ki main to isme aapki koi madad nahin kar sakta magar meri pahchaan israyeel se hai main aapko unke paas le chalta hoon wo aapki zaroor madad karenge,tab aap hazrate malkul maut ke paas haazir hue aur poora waaqiya kah sunaya to hazrat israyeel alaihissalam kahte hain ki bagair mare hue to koi jannat me nahin ja sakta haan main ye kar sakta hoon ki aapki rooh qabz karke fauran aapke jism me daal doon to ye mumkin hai,to hazrat idrees alaihissalam farmate hain ki theek hai aisa hi karo to unhone rooh qabz karke fauran jism me daal di fir unhein jahannam ke oopar bane hue pul yani pul-sirat se guzaarkar jannat me pahuncha diya aur khud baahar ruk gaye ki aap jannat ki sair karke wapas tashreef le aayen,jab bahut deir ho gayi to hazrat israyeel alaihissalam ne aapko aawaz di ki hazrat ab chala jaaye to hazrat idrees alaihissalam farmate hain ki kahan chala jaaye rub farmata hai ki har bande ko maut ka maza chakhna hai so main chakh chuka fir farmata hai ki har bande ko pul-sirat se guzarna hoga so main wahan se bhi guzar chuka fir farmata hai ki jo ek baar jannat me daakhil ho gaya wo kabhi bhi usse baahar nahin nikaala jayega to ab main yahan aa chuka aur yahan se kahin nahin jaaoonga,jab hazrat idrees alaihissalam ne hazrat israyeel alaihissalam ko ye daleel di to maula ne farmaya ki ai israyeel mere bande ne sach kaha aur jo kuchh kiya wo mere izn se hi kiya so use wahin rahne do
📕 Tazkiratul ambiya,safah 64
* Ye waaqiya doshambe ke din pesh aaya
📕 Nuzhatul majalis,4,safah 47
* Kis umr me ye waaqiya pesh aaya isme kayi qaul hain baaz ne 350 saal kaha aur baaz ne 400 saal aur baaz ne 450 saal ki umr batayi
📕 Alitqaan,jild 2,safah 175
📕 Jalalain,h 9,safah 276
📕 Tafseere saavi,jild 3,safah 73
Post a Comment