Maslak E Ala Hazrat Se Kya Murad Hai ?

Maslak E Ala Hazrat Se Kya Murad Hai ?

Maslak E Ala Hazrat Se Kya Murad Hai ? الاولیٰ Tarif Kya Hai Aur Ispar Amal Na Karne Wale Par Kya Hukm Hai. Mazkura Sawalat Ke Jawabat Kutb Fiqah Wa Quran Hadees Ki Roshni Me De.

Al Jawaab

Maslak E Ala Hazrat Se Murad Wo Mazhab E Haq Hai Jo Huzur Aqdas ﷺ Se "الیٰ یومنا ھذاـ ـ Mutwarat Chala Aata Hai, Jis Ki Tanqih , Taid, Qarib Me Mujjadeed E Azam Ala Hazrat Quds Sira Ne Ki Hai. Is Lafz Ke Riwaj Dene Ki Asal Wajh Yeh Hai Ke Jab Islam Me Firqa E Batila Rawafiz, Khawarij, Mau'tzali Paida Hue To Mazhab E Haq Ke Imtiyaz Ke Liye "Ahl Sunnat Wa Jamaat" Lafz Shayd Za Zaih Huwa.

Ye Koi 5 Va Maslak Nahi Hai Balki Maslake Imam e Azam Abu Hanifa Hi Hai. Lekin Mazi Qarib Me Kuch Firqe Ese Paida Hue Jo Gumrah Deen Aur Islam Se Kharij Hote Hue Bhi Apne Ko Sunni Aur Ahl Sunnat Kahte Rahe Jaise Wahabi, Deobandi, Maududi, Sulahkulli Wagera To Apne Aapko Sirf Sunni Aur Ahl Sunnat Kahne Se Un Badmazhabo Se Imtiyaz Nahi Huwa Tha.

Sab Bad Mazhabo Se Imtiyaz Ke Liye Jo Lafz Khaas Hai Wo "Maslak E Ala Hazrat" Hai.

Siwa E Maslak E Ala Hazrat Ke Koi Esa Lafz Nahi Jis Se Is Waqt Hindustan Me Paye Jane Wale Badmazhabo Se Pura Imityaz Ho Sake. Yahi Ek Lafz Esa Hai Jis Se Imtiyaz Kamil Hasil Hota Hai.

Sahil Ko Agar Timinaan Na Huwa Ho To Mujhe Bataye Ke Sahi Ul Aqedah Sunnio Ko Dusre Bad Mazhabo Se Mumtaz Karne Ke Liye Kya Lafz Istemal Karega. Wo Jo Lafz Bhi Bataye Use Mere Pass Likh Kar Bhej De To Main Use Samjauga Ke Us Se Imtiyaz Nahi Hota.

Wallahu Ta'la Allam.

(Fatwa E Shareh Bukhari Jild 3 Safah 375)

No comments