क्या रोज़े की हालत मे injection लगा सकते हैं? ROZE ME INJECTION LENA KAISA ?
ROZE ME INJECTION LENA KAISA?:
▶Fuqahae kiraam ka isme iqtelaaf hai Kuch Ulama (Mufti) Isko jaiz kahte hai aur kuch Mufti mana karte hai, dono ke paas apni apni dalail maujood hai..
📖Ab hum dono ke dalail pesh karte hai aur akhir me iska khulasa karenge.
*1⃣ ROZE ME INJECTION JAIZ HONE KI DALEEL:*
🤔Jaisa ke sabko pata hai roza tootne ke liye ankh ya naak se koi chiz pet me dakhil ho tab hi tootega, injection nerve me dia jata aur ye condition sabit nahi horahi lehaza nahi tootega.
*✍🏻Real Example:*
🔸Kushti(Builder) ladne wala apne pure jism pe Tel (oil) lagata hai, zahir si baat hai wo oil jism ke pores (holes) se andar jata hai phir bi tamam muftiyo ka isme ettefaaq hai ke Aisa oil lagane se us builder ka roza nahi jata.
*👆🏻iqtelaaf karne wale ispe kya fatwa denge?*
*▶PROOFS FROM FIQA BOOKS:*
🔸Halate Roza me injection lagane se roza nahi toot tha kyuki isse direct pet ya dimag tak dawai nahi gayi balke masamaat (pores) ke zarie gayi jaise ke tel lagane se roza nahi jata jabke wo masamat se jism ke andar bi jata hai.
*(📚Fatwae Muftie Azam jild-3 page-302,*
*📚Fatwae Faize Rasool jild-1 page-516,*
*📚fatwae Markazi Darulifta page-359*
*📚Darulifta Ahlesunnat dawateislami)*
2. *DUSRE ULAMA JO TOOTNE KI DALEEL DETE HAI:*
🔸Halate Roza me koi chiz kahi se bi andar jaye tho roza toot jayega.
*(📚Tafheemul Masail-1 page-192,*
*📚Minhajul fatwa jild-2, page-503)*
*⏹CONCLUSION:*
👍🏻Agar aapko injection ki sakht zarurat ho tho pahle muftiyo ke qaul pe amal karke injection lijie.
💪🏻Agar bina injection ke aap roza rakhsakte hai tho dusre wale mufti ke qaul pe amal karke na lagaye.
🙏🏻Ummid hai ke aap sabko ye masla samajme agaya hoga.
😇Iqtelafi masail me discussion nahi karna kyuki dono ke pas apni apni daleel maujood hote hai..
Post a Comment