माहे शाबान की 15वी रात की फजीलत जान लिए तो आंखों में 😢 आंसू आ जाएगे, बेशक हमारा रब रहम करने वाला है. (Mahe Shaban Ki Fazilat)
▶AAQA Sallallahu Alaihi Wa Sallam KA MAHINA:
🔸Hzt Sayyida Ayesha siddiqa raziALLAHU anha farmati hai ke AAQA sallallahu alaihi wa sallam ka pasandida mahina shaban tha ke isme roze rakha kartey phir isey Ramazan se mila dete.
(📚Sunan Abu dawood jild-2 hadees-2431)
🔸Rasoole Akram, Noore Mujassam, Shahe Bani Aadam, Nabiyye Muhtasham, Shafa e Umam صلی اللہ تعالی علیہ و اٰلہ و سلم Ka Sha'ban ul Muazzam Ke Baare Me Farmane Mukarram Hai :
"Sha'ban Mera Mahina Hai aur Ramadan Allah Ka Mahina Hai".
📚الجامع الصغیر للسیوطی، ص 301، حدیث 4889۔ (دارالکتب العلمیہ بیروت)
▶IS MAHINE SE LOG GHAFIL (Anjaan) HAI:
Hzt Sayyiduna Usama bin Zaid raziALLAHU anhu farmate hai, maine arz kiya YA RASOOLULLAH sallallahu alaihi wa sallam mai dekhta hu ke jis tarah aap Shaban me roze rakhte hai is tarah kisi bhi mahiney me nahi rakhte?
Aaqa sallallahu alahi wa sallam ne Farmaya Rajab aur Ramazan ke bichme ye mahina hai, log isse ghafil hai, is mahiney me logo ke amaal ALLAH paak ki taraf utaye jate hai aur Mujhe ye mehboob hai ke mere amal is haal me utaye jaye ke mai rozedar rahu.
(📚Sunan Nasai hadees-2354)
ALLAH paak hame bhi is mahiney me roze rakhne ki taufeeq dein Ameen.
▶Nafli Rozon Ka Pasandeedah Mahina:
حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ حَنْبَلٍ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ مَهْدِيٍّ، عَنْ مُعَاوِيَةَ بْنِ صَالِحٍ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ أَبِي قَيْسٍ، سَمِعَعَائِشَةَ تَقُولُ: كَانَ أَحَبَّ الشُّهُورِ إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَنْ يَصُومَهُ شَعْبَانُ ثُمَّ يَصِلُهُ بِرَمَضَانَ.
Ummul Mu'mineen Sayyidatuna Aaisha Siddiqa رضی اللہ تعالی عنہا Ko Farmate Hue Suna :
Rasoolullahصلی اللہ علیہ وسلم Ka Pasandeeda Mahina Sha'ban ul Muazzam tha Ke Is Me Roze Rakha Karte Phir Use Ramadan ul Mubarak Se Mila Dete.
📚سنن ابو داود، ج 2، ص476، حدیث 2431.
▶SHABAAN KI 15WI RAAT KI FAZILAT:
🔸Hazrat Ali RaziALLAHU anhu se riwayat hai ke pyare NABI sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya:
Shaban ki 15wi raat qiyam karo aur din me roza rakho, Kyuki ALLAH paak is raat asmaane dunya ki taraf tajalli farmata hai aur kahta hai ke Hai koi maghfirat ka talabgar ke mai usey baqsh du, hai koi rizq chahne wala ke mai usey rizq ata karu, hai koi musibat me pada hua ke mai uski musibat door kardu.. Is tarah fajar tak nida karta hai.
*(📚Sunan Ibne Maja Hadees-1451,*
*📚Shu'abul imaan lil baihaqi hadees-3664,*
*📚Kanzul Ummal hadees-35177)*
Post a Comment