⏹12 RABI UL AWWAL NABI E KARIM ﷺ KE WAFAT KA DIN NAHI HAI


12 RABI UL AWWAL WAFAT KA DIN NAHI HAI:


Pyare NABI alaihis salam ke wafat ka din 12 rabi ul awwal nahi hai, is maamle me ghair tho ghair apne kuch ulama bi sahi tehqeeq baat na milne se 12 likhdiye, jabke wo pure ahadees *ZAEEF* hai.



12 Rabi ul Awwal ki riwayat hzt Ayesha raziALLAHU anha aur Ibne Abbas RaziALLAHU anhu se riwayat hai.. iski zaaef sanad ye hai


ZAEEF SANAD:


1⃣Iski sanad Me "Mohammad bin Umar waqidi" ek rawi hai,jiske bareme Imam ishaq, Imam Ali bin madni, Imam abul Hatim razi aur nasai ne muttafaq taur pe kaha ke
*"Waqidi apni taraf se hadeese ghad liya karta tha"*

2⃣Imam Yahya ne kaha waqidi siqa (qabile etebar) nahi.

3⃣Imam Ahmad Bin hambal ne kaha waqidi kazzaab(yani jhoota) hai, hadeeso me tabdeeli kar deta hai.

4⃣Marwa ne kaha ke waqidi ki hadeese na likhi jaye.

5⃣Zahbi ne kaha waqidi ke sakht zaeef hone par ayimma jarah o Tadeel ka ijma hai.

(Mizanul etedal Jild-2 Page-425, 426)



⏹Important note:

➤Hzt Ayesha raziALLAHU anha wali riwayat ki sanad me waqidi ka awala unke shaikh "Mohammad bin Abdullah bin abi sabra be paya jata hai jiske bareme Imam Ahmad bin hambal ne kaha ke wo hadeese ghadliya karta tha.

(Mizanul Etedal Jild-2)


➤Hzt Ibne Abbas raziALLAHU Anhu ki riwayat me waqidi ke shaikh "Ibrahim bin yazeed" paya jata hai jo ki sakht zaeef hai.

(Mizanul Etedal jild-1)

Khulasa ye hai ke 12 Rabi ul awwal ko wafat kahna na sahaba se sabit hai aur na ayimma tabaeen se sehat tak pahunch saka.


⏹MOHARRIQ, MOHADDIS AUR MOHAQQIQ KE QAUL:


1⃣Imam abul Qasim Abdul Rahma salbi (mutawaffi 571 hijri) jo ki mashur muhaqqiq mohaddis aur mohariq guzre, likhte hai
*"12 Rabi ul awwal kisi surat me bi yaumul wafat nahi hai"*

(Sharah Sirat Ibne hasham Jild-2)




2⃣Yahi Aqida Imam Shamsuddin Zahabi, Hafiz ibne Hajar Asqalani, Ibne Asakir, Hafiz Ibne kaseer, Imam Nooruddin Ali bin Ahmad, Imam Ali bin Burhanuddin halbi ne likha ke 12 rabi ul awwal yaumul wafat nahi hai.

(Tareeq ul Islam al'zahabi jild-1, Wafa al Wafa jild-1, Fathul bari sharah sahih Bukhari jild-8)

Pyare NABI alaihis salam ki paidaish jamhoor Muhaddiseen o Ulama ka ittefaq hai ke 12 Rabi ul awwal hai,aur iski sanad bi *"Sahih* hai