EID MILADUN NABI ME KHUSHIYA MANANA KAISA HAI ?

Rasoolullah Swallallahu Alaihi wa Sallam Ki Aamad Par Khusiyan Manana


EID MILADUN NABI ME KHUSHIYA MANANA KAISA HAI ? 

Hadees Shareef

حَدَّثَنَا الْحَسَنُ بْنُ عَلِيٍّ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا عَبْدُ الْرَّزَّاقِ، ‏‏‏‏‏‏أَخْبَرَنَا مَعْمَرٌ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ ثَابِتٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَنَسٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏   لَمَّا قَدِمَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الْمَدِينَةَ لَعِبَتْ الْحَبَشَةُ لَقُدُومِهِ فَرَحًا بِذَلِكَ لَعِبُوا بِحِرَابِهِمْ  .
*جب رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم مدینے آئے تو حبشی آپ کی آمد پر خوش ہو کر خوب کھیلے اور اپنی برچھیاں لے کر کھیلے۔*

Hazrat Sabit Se Rivayat Hai Ke Hazrat Anas RadhiAllah Anhu Ne Farmaya: 

Jab Rasoolullah رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم Ki Madeena Munawwarah Me Tashreef Aawari Hui to Habashi Aap  
صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم Ki Aamad ke Khushi Me Apne Barche (Neze) Lekar Khele.

Sunnan e Abu Dawood Hadees 4923.


Nisar Teri Chahal Pahal Par Hazaaron Eidein Rabi Ul Awwal,
Siwaye Iblees Ke Jahan Me Sabhi To Khushiyan Mana Rahe Hain.


Wiladat e Rasool صلی اللہ علیہ و سلم ki Khushi Me Abu Lahab Ko Jahannum Me Rahat


‏‏‏‏‏‏قَالَ عُرْوَةُ وَثُوَيْبَةُ:‏‏‏‏ مَوْلَاةٌ لِأَبِي لَهَبٍ، ‏‏‏‏‏‏كَانَ أَبُو لَهَبٍ أَعْتَقَهَا، ‏‏‏‏‏‏فَأَرْضَعَتِ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏فَلَمَّا مَاتَ أَبُو لَهَبٍ أُرِيَهُ بَعْضُ أَهْلِهِ بِشَرِّ حِيبَةٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ لَهُ:‏‏‏‏ مَاذَا لَقِيتَ؟ قَالَ أَبُو لَهَبٍ:‏‏‏‏ لَمْ أَلْقَ بَعْدَكُمْ غَيْرَ أَنِّي سُقِيتُ فِي هَذِهِ بِعَتَاقَتِي ثُوَيْبَةَ.

Arwa bin zubair ne kaha, saubia abu lahab ki loundi (ghulam) hai aur abu lahab ne is ko (Hazrat Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Ki Khushi) me azad kardiya tha aur is ne Nabi e Kareem صلی اللہ علیہ وسلم Ko Doodh Pilaya , aur jab abu lahab margaya to wo apne ghar waalon (Hazrat Abbas ؓ ) Ko khwab me bure halat me dikhaya gaya.

dekhne wale (Hazrat Abbas ؓ ) ne abu lahab se kaha _ mout ke bad tujhe kya pesh aya _ abu lahab ne kaha tumhare bad mujhe kuch narmi ya rahat nahi mili _ sirf ek ghade me se pani (Hazrat Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Ki Khushi) me apni loundi Saubia ko azad karne ke baais pilaya jata hoon.

Sahih Bukhari Hadees # 5101.



Muhaqqiq Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelwi Alaihirrahma Farmate Hain: 

Ke Abu Lahab Kafir Hone Ke Bawajood Apne Bhatije (Hazrat Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم Ki Wiladat Ki Khushi) Mana kar Faaida Hasil Kar Sakta Hai to Musalman Apne Rasool صلی اللل علیہ وسلم Ki Wiadat Ki Khushiyan Halat e Imaan Me Manaye to Woh Kis Qadar Fuyuz wa Barakat Ka Mustahiq Hoga.

Madarijun Nabuwwah