MISWAK KE FAYDE AUR USKE JARURI MASAIL (सुब्हान अल्लाह ! हमारे नबी ﷺ ने जो 1400 साल पहले बताया, उस पर मेडिकल साइंस भी अमल करती है . .)




(हिन्दी के लिए नीचे जाये ) 


HADEES SHARIF


➤Hazrat miqdaam bin sareeh raziyallahu taala anhu apne waalid se riwayat karte hain ki maine ummul momeneen sayyadna aaisha siddiqa raziyallahu taala anha se poochha ki nabi kareem sallallaho taala alaihi wasallam ghar me aane par sabse pahla kaam kya karte the farmaya ki miswaak

📕 Muslim,jild 1,safah 243



Hazrat abu hurairah raziyallahu taala anhu se marwi hai ki huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki agar meri ummat par bojh na hota to main hukm deta ki har namaz se pahle miswaak karen


📕 Tirmizi,jild 1,safah 243



Hazrat jaabir raziyallahu taala anhu se marwi hai ki huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki miswaak ke saath waali namaz bagair miswaak ki namaz se 70 guna afzal hai


📕 Attargeeb,jild 1,safah 102




Ummul momeneen sayyadna aaisha siddiqa raziyallahu taala anha farmati hain ki huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne apni zindagi me jo aakhiri kaam kiya wo miswaak thi doosri riwayat me hai ki aap hamesha raat ko sokar uthte to miswaak karte


📕 Bukhari,jild 1,safah 197



Hazrat aamir bin rabee raziyallahu taala anhu farmate hain ki maine huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ko roze ki haalat me dekha ki aap miswaak farma rahe hain


📕 Bukhari,jild 1,safah 732






मियाँ-बीबी में मोहब्बत👆👆 का वज़ीफा और पसन्द की शादी के वज़ीफा लिए 👆👆ऊपर देखे 



💚MISWAAK KE FAYDE💚


Miswaak karne me kayi faayde hain ye munh ko khushbudaar karti hai masudhon ko mazboot karti hai nazar ko tezz karti hai balgum nikaalti hai sojish ko door karti hai mede ki islaah karti hai sunnat par amal ka baayis hai nekiyon me izaafa hai farishton ko khush karti hai aur rub ko raazi karti hai,iske alawa mede ki bimariyan ho ya purana nazla ya phir kaan aur gale me taqleef ho ya dil ki jhilliyon me peep aa gayi ho to peelu ki miswak bahut faaydemand hai,miswaak ke taalluq se ye kuchh hadisein bayaan huyi iski poori details ke liye kitab Tibbe nabwi aur jadeed sayins ka mutaala karen,khair inse ye to pata chal hi gaya hoga ki miswaak karne me jitna faayda duniya ka hai utna hi aakhirat ka bhi,miswaak kayi tarah ki shaakhon se ki ja sakti hai maslan zaitoon peelu neem babool keekar wagairah lekin agar zaitoon mayassar na aaye to peelu hi sabse behtar hai,miswaak karne ke kuchh qaayde hain unhein yaad rakhen.

📕 Tibbe nabwi aur jadeed science, safah 285
📕 Ibaadaat aur jadeed sayins, safah 38



MISWAK KE KUCH JARURI MASAIL:


Miswaak zyada moti ya bahut zyada patli na ho chhungli ke barabar motayi aur ek baalisht se zyada lambi na ho ki ispar shaitan baithta hai haan chhoti ho jaaye to harz nahin.


Miswaak ko is tarah pakdein ki angutha sire par ho aur beech ki 3 ungliya oopar aur chhungliya neeche.


Miswaak ko daahine se baayein 3,3 martaba le jaayein aur oopar se neeche miswaak karen tooth brush ki tarah lambayi me na karein aur har baar dho lein.


Miswaak ko litakar na rakhen aur yunhi idhar udhar na phenke balki is tarah khadi karke rakhen ki resha oopar ki jaanib ho aur iski behurmati na karein ki ulma musalaman ko baitul khala me thookne tak ko mana karte hain to phir ye aalaye adaye sunnat hai lihaza iski tazeem karen aur jab kaabile istemal na rahe to dafn kar dein ya kisi mahfooz jagah rakh dein.


📕 Bahare shariyat,hissa 2,safah 17

             




हदीस - हज़रत मिक़दाम बिन सरीह रज़ियल्लाहु तआला अन्हु अपने वालिद से रिवायत करते हैं कि मैंने उम्मुल मोमेनीन सय्यदना आईशा सिद्दीक़ा रज़ियल्लाहु तआला अन्हा से पूछा कि नबी करीम सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम घर में आने पर सबसे पहला काम क्या करते थे फरमाया कि मिस्वाक

📕 मुस्लिम,जिल्द 1,सफह 243



हदीस - हज़रत अबु हुरैरा रज़ियल्लाहु तआला अन्हु से मरवी है कि हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि अगर मेरी उम्मत पर बोझ ना होता तो मैं हुक्म देता कि हर नमाज़ से पहले मिस्वाक करें


📕 मुस्लिम,जिल्द 1,सफह 243



हदीस - हज़रत जाबिर रज़ियल्लाहु तआला अन्हु से मरवी है कि हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि मिस्वाक के साथ वाली नमाज़ बगैर मिस्वाक की नमाज़ से 70 गुना अफज़ल है


📕 अत्तरगीब,जिल्द 1,सफह 102



हदीस - उम्मुल मोमेनीन सय्यदना आईशा सिद्दीक़ा रज़ियल्लाहु तआला अन्हा फरमाती हैं कि हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम ने अपनी ज़िन्दगी में जो आखिरी काम किया वो मिस्वाक थी दूसरी रिवायत में है कि आप हमेशा रात को सोकर उठते तो मिस्वाक करते


📕 बुखारी,जिल्द 1,सफह 197



हदीस - हज़रत आमिर बिन रबिअ रज़ियल्लाहु तआला अन्हु फरमाते हैं कि मैंने हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम को रोज़े की हालत में देखा कि आप मिस्वाक फरमा रहे हैं


📕 बुखारी,जिल्द 1,सफह 732




MISWAK KE KUCH JARURI MASAIL:




मिस्वाक करने में कई फायदे हैं ये मुंह को खुश्बूदार करती है मसूढ़ों को मज़बूत करती है नज़र को तेज़ करती है बलगम निकालती है सोजिश को दूर करती है मेदे की इस्लाह करती है सुन्नत पर अमल का बाईस है नेकियों में इज़ाफा है फरिश्तों को खुश करती है और रब को राज़ी करती है,इसके अलावा मेदे की बीमारियां हो या पुराना नज़ला या फिर कान और गले में तकलीफ हो या दिल की झिल्लियों में पीप आ गई हो तो पीलु की मिस्वाक बहुत फायदेमंद है,मिस्वाक के तअल्लुक़ से ये कुछ हदीसें बयान हुई इसकी पूरी डिटेल्स के लिए किताब तिब्बे नब्वी और जदीद साईंस का मुताआला करें,खैर इनसे ये तो पता चल ही गया होगा कि मिस्वाक करने में जितना फायदा दुनिया का है उतना ही आखिरत का भी,मिस्वाक कई तरह की शाखों से की जा सकती है मसलन ज़ैतून पीलू नीम बबूल कीकर वगैरह लेकिन अगर ज़ैतून मयस्सर ना आये तो पीलू ही सबसे बेहतर है,मिस्वाक करने के कुछ क़ायदे हैं उन्हें याद रखें.

📕 तिब्बे नब्वी और जदीद साईंस,सफह 285

📕 इबादात और जदीद साईंस,सफह 38


मसअला:  मिस्वाक ज़्यादा मोटी या बहुत ज्यादा पतली ना हो छुंगली के बराबर मोटाई और एक बालिश्त से ज़्यादा लम्बी ना हो कि इस पर शैतान बैठता है हां छोटी हो जाये तो हर्ज़ नहीं.


मसअला: मिस्वाक को इस तरह पकड़ें कि अंगूठा सिरे पर हो और बीच की 3 उंगलियां ऊपर और छुंगलिया नीचे.


मसअला: मिस्वाक को दाहिने से बायें 3,3 मर्तबा ले जायें और ऊपर से नीचे मिस्वाक करें टूथ ब्रश की तरह लम्बाई में ना करें और हर बार धो लें.


मसअला: मिस्वाक को लिटाकर ना रखें और युंही इधर उधर भी ना फेंके बल्कि इस तरह खड़ी करके रखें कि रेशा ऊपर की जानिब हो और इसकी बेहुरमती ना करें कि उल्मा मुसलमान को बैतुल खला में थूकने तक को मना करते हैं तो फिर ये आलाये अदाये सुन्नत है लिहाज़ा इसकी ताज़ीम करें और जब क़ाबिले इस्तेमाल ना रहे तो दफ्न कर दें या किसी महफूज़ जगह रख दें.


📕 बहारे शरीयत,हिस्सा 2,सफह 17