🔸QAYAMAT KE DIN UMMATI AMBIYA ALYEHIMUSSALAM SE MADAD MANGEGE


"Hazrat Abdullah Bin Umar radiallahunhu Se Riwayat Hai Ke Huzoor Nabi e karim sallallahu alyehi wasallam Ne Farmaya : 

Qayamat Ke Din Sooraj Logon Ke Bahut Qareeb Aa Jaa’ega Yahan Tak Ki (Us Ki Tapish Ke Baa’is Logon Ke) Nisf Kaanon Tak Paseena Pahunch Jaa’ega.


Log Is Haalat Me (Pahle) Hazrat Aadam Alyehisalam Se MADAD Maangne Jaayenge,
Phir Hazrat Moosa alyehisalam Se, 

Phir Aakhir Me (Har Ek Ke Inkaar Par) Huzur Sallallahu Alyehi Wasallam Se "MADAD" Maangenge.”

Sahi Bukhari..Kitabuz Zakat..jild..2..safa..32 
Hadees 1474.

SubhanALLAH 

Sahi bukhari ki is hadis se pata chala ke baroze qayamat Ambiya e kiram Alyehimussalam aur hamare pyare Aaqa Alyehisalam se ummati aapni halate zaar par inse "MADAD" talab karege...

Ab wo log jo aaqa alyehi salam aur digar ambiya auliya se is DUNIYA me madad talab karne ko SHIRK kahete hai..
Unse itni hi baat kahena chahta hu ke 
                                                            AAQA ALYEHI SALAM SE MADAD TALAB KARNA JAB QAYAMAT KE DIN "SHIRK" NAHI HOGA TO WO AAJ KAISE "SHIRK" HO JAYEGA.???

Kyuki ye madad talabi ka kaam to ALLAH TA,ALA ke saamne ho raha hoga..To ummati ko chahiye tha ke BARAHE RAAST (direct) ALLAH hi se madad talab karte...Par AAQA ALYEHI SALAM farma rahe hai ke yeh madad talabi AMBIYA ALAIHISSALM aur mujhse ki jayegi...

SubhanALLAH.

NOTE...IMAM BUKHARI KI IS SAHI BUKHARI KI HADIS ME LAFZ ""ISTEGAASU"" MAUJUD HAI.. yani MADAD MANGEGE..

Ab koi bhi munkir ye kahe nahi sakta ke MADAD ka lafz hamne daal diya..Isi liye Aala Hazrat  Rahmatulaalaye Farmate Hai.

AAJ LE UNKI PANAH AAJ "MADAD" MAANG UNSE.
PHIR NAA MAANEGE QAYAMAT ME AGAR MAAN GAYE.



No comments