🔸Aurton Ka Gair Mehram Mard Ko Na Dekhna


✺ Islam ke nazdeek aurton ki ifat wa asmat ki badi ahemiyat hai, isi liye Islam ne is ki hifazat ka hukm diya hai aur is mukhtalif tadbeerein bataai hain. Is par amal karne ke baad hi aurton ki asmat mehfooz reh sakti hai aur nek seerat, achchhe akhlaaq, ba haya, paakdaaman aur sahi kirdaar ki maalik ban sakti hain aur is tarah poora muaasharah paakeezah ban sakta hai.

✺ Unheen tadbeeron mein se ek yeh hai ke aurtein gair mehram mardon ko na dekhein, jis tarah mardon ko ijaazat nahin hai ke naamehram aurton ko bila zaroorat dekhein, usi tarah aurton ke liye bhi zaroori hai ke woh bila zaroorat ke naamehram mardon ko na dekhein. Qur'an wa Hadees mein mardon aur aurton ko nigaah neechi rakhne ka hukm diya gaya hai,

✺ Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama):

" Aur momin aurton se keh dijiye ke apni nighaahein neechi rakhein " 
(Surah-e-Noor: 31)


✺ Hadees mein hai ke ek martaba Umme Salma aur Hazrat Memoona (Raziyallahu 'Anha), Huzoor ﷺ ke paas baithhi hui theen, yeh donon Huzoor ﷺ ki biwiyaan hain, itne me Hazrat Abdullah bin Umme Maktoom (Raziyallahu 'Anhu) bhi wahaan aagaye, yeh ek nabeena sahaabi the, Huzoor ﷺ ne apni donon biwiyon ko hukm diya ke tum donon in se parda karo. 

Is par Hazrat Umme Salma (Raziyallahu 'Anha) ne kaha: Ya Rasulullah ﷺ kya woh naabeena nahin hain? Ham ko to nahin dekh rahe hain, aur na hi pechaan rahe hain, Aap ﷺ ne farmaaya: kya tum donon bhi andhi ho, kya tum unhein nahin dekh rahin ho? 
(Tirmizi: 2778)


✺ Gaur karna chaahiye ke ek taraf Huzoor ﷺ ki intehaai nek aur paak baaz biwiyaan theen aur doosri taraf intehaai nek sahaabi the, yahaan to kharaab niyyat ka shuba bhi nahin tha, magar is haalat mein bhi Allah ke Rasool ﷺ ne un ko parda karne ka hukm diya. To phir aaj kal jabke haalat bahot hi ziyaada kharaab hain, gunaahon ki kasrat hai, har taraf be hayaai aur be sharmi ki baatein paai jaati hain aur shaitaan insaanon ko gunaah mein mubtila karne ki poori koshish kar raha hai, to aise haalaat mein parde ki paabandi karne, nigaahein neechi rakhne aur gair mehram mardon ki taraf taak jhaank na karne ki kitni sakht zaroorat hai.

✺ Is daur mein kuchh aurton ki yeh haalat hai woh mardon ko taakti rehti hain, shaadi biyaah ke mauqe par "Salaami" ke naam par doolhe ko andar bula kar dekhti rehti hain yeh saraasar be sharmi aur be gairati hai aur gair Islaami tareeqa hai oopar ki Hadees mein gaur karein ke kitni sakhti ke saath Huzoor ﷺ ne naabeena sahaabi ko dekhne se mana farmaadiya, is liye tamaam aurton ko is par amal karna chaahiye aur gair mehram mardon ko dekhne se ijtinaab karna chaahiye.

No comments