🔸 KISI BHI MUA'MILE ME SHIDDAT PASANDI NA KIYA KARO
HADEES SHARIF:
Hazrat Abdullah Bin Omer Raziyallahu Anhuma Rivayat kartay hain ke Huzoor Nabi e Akram Sallallahu Alaihi wasallam Ne farmaya :"Jiss Shakhs Ne Ham par ( yani Ham Musalmanaun par ) Hathiyaar Uthaya Wo Ham may se Nahi"
( Imam Muslim Ne is Ko Rivayat kiya hai )
Reference . . . 📚📚📚
امام مسلم نے الصحیح
کتاب : الایمان ۔ میں
حدیث نمبر ۔ ۔ ۔ 98 ۔ ۔ ۔
اسکو روایت کیا ھے ۔ ۔ ۔
Logo Yaad Rakho !
Galat kaam se Kisi Ko Rookna ho tou
pahle Mohabbat se Samjhaao ..
Phir Bhi wo Na Ruke tou Allah se Uske liye dua karo ..
laiken yaad Rakho ..
Gaali Dekar
kisi ki Islaah Nahi ki jaasakti ..
jaan se maar kar
kisi ki Islaah Nahi ki jaasakti ..
Agar koi Shakhs Galat logaun ki Sohbat me Rahkar Badd Aqeedah hogaya To Uski bhi Islaah Mohabbat se karo ..
SHIDDAT PASANDI SE USKI ISLAAH KABHI NAHI HOSAKTI ...
Post a Comment