🔸AHLE BAIT SE MOHABBAT (अहले बैत से मोहब्बत )


https://islamknowladge.blogspot.com


 Hadees Shareef:

🔸Hazrat Zaid Bin Sabit raziAllahuanhu Bayaan karte Hain ke Huzoor Nabi-e-Akram صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne farmaya:

Beshak main tum me do Nayeb (Khalifah) chhor kar jaraha hun.

1 Allah Ta'aala Ki Kitaab jo ke aasmaan wa zameen ke darmiyaan phaili hui rassi (ki tarha) hai aur

2 meri Itrat yani Mere Ahle Bait.
Aur yeh ke ye dono hargiz juda nahi honge jabtak Mere Paas Houze Kausar par nahi pohanch jate.

📚 أخرجه أحمد بن حنبل في المسند، 5 / 181، الرقم : 21618،
📚 الهيثمي في مجمع الزوائد، 9 / 162

▶Yani Quran aur Ahle Bait ko 1 sath thamna baqshish ki zamanat hai.

▶Iska mana ye bhi hai ke Quran to likha hua kalaam hai.. magar is Quran ko practical dekhna chahte hoto HUZOOR Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ke Sath Ahle Baite Athaar ki zindagi bhi dekhlo..

▶Q ke Quran ko Ahle Bait ne itna padha ke Neze par Kata hua Imame Aali Maqam Ka Sire Mubarak bhi Quran padha karta hai...
Aur Jo in dono ko thamle Sarkaar alaihissalam kal baroze mehshar Jame Kausar bhar bhar Kar use pilayenge.




ALLAH ki Qasam IMAAN Ahle Bait ki Mohabbat ke bagair Dil me Dakhil hi nahi hota:


🔹عَنِ الْعَبَاسِ بْنِ عَبْدِ الْمُطَّلِبِ رضي اﷲ عنهما قَالَ : کُنَّا نَلْقَي النَّفَرَ مِنْ قُرَيْشٍ، وَهُمْ يَتَحَدَّثُوْنَ فَيَقْطَعُوْنَ حَدِيْثَهُمْ، فَذَکَرْنَا ذَلِکَ لِرَسُوْلِ اﷲِ صلي الله عليه وآله وسلم، فَقَالَ : مَا بَالُ أَقْوَامٍ يَتَحَدَّثُوْنَ فَإِذَا رَأَوْا الرَّجُلَ مِنْ أَهْلِ بَيْتِي قَطَعُوْا حَدِيْثَهُمْ وَاﷲِ، لاَ يَدْخُلُ قَلْبَ رَجُلٍ الإِيْمَانُ حَتَّي يُحِبَّهُمْ لِلّهِ وَلِقَرَابَتِهِمْ مِنِّي. رَوَاهُ ابْنُ مَاجَةَ وَالْحَاکِمُ.

Hazrat Abbas bin Abdul Mutallib رضی اللہ عنہما Bayaan farmate hain keh hum jab Quraish ki jamaat se milte aur wo aapas me baat karrahe hote to baat karna rok dete, humne HUZOOR NABI-E-AKRAM صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ki baargaah me is baat ki shikayat ki to AAP صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ne farmaya: logon ko kya hogaya hai jab mere Ahle Bait se kisi Ko dekhte hain to guftagu ro kdete hai?

ALLAH RABBUL IZZAT ki Qasam! kisi Shaqs ke Dil me us Waqt tak IMAAN Dakhil nahi hoga jabtak in (Mere Ahle Bait Se) ALLAH ta'aala ke liye aur meri Qurabat (rishtedari) ke liye Mohabbat Na kare.

📚 أخرجه ابن ماجة في السنن، المقدمة، باب : فضل العباس بن عبد المطلب رضي الله عنه، 1 / 50، الرقم : 140،
📚الحاکم في المستدرک، 4 / 85، الرقم : 6960،
📚المقدسي في الأحاديث المختارة، 8 / 382، الرقم : 472،
📚الديلمي في مسند الفردوس، 4 / 113، الرقم : 6350،
📚السيوطي في شرح سنن ابن ماجة، 1 / 13، الرقم : 140.

1 comment:

  1. Aapne bhut hi aacha likha hi par plz aap ALLAH ki kasam Dena band kare....

    ReplyDelete