Quran Sharif Ke 30 Paaro Par Taqseem Kab Aur Kaise Hui
Qur'an ki 30 paaro par taqseem:
A'lahazrat Imam Ahmad Raza Khan Faazil-e Bareilvi (AlahirRahmat) farmate hain ke:
Qur'an ki 30 paaro par taqseem na Huzur ne ki, na kisi Sahaabi ne, na kisi Taa'be-ei ne. Ma'loom nahi iski shuroo'aat kisne ki. Qur'an-e Azeem ki aisi baato se muta'aliq jitni hadeesein, riyaayatein aur qaul they wo sab Imam Jalaaluddeen Suyooti (wafaat: 911 Hijri) ne apni kitaab Al-itqaan me jama' farma diye hain, us kitaab me bhi paaro ka kahee zikr nahi, is se zaahir hota hai ke unke waqt (Huzur ki wafaat sharif se 900 aur hamare zamaane se 422 saal) tak ye taqseem na thi.
-Fataawa Razwiya: 26/492
-Almalfooz: 111
Post a Comment