Swalatul Lail Kounsi Namaz Ko Kahte Hai.

Swalatul Lail

raat me bad namaz e isha jo nawafil padhe jayen in ko swalatul lail kahte hain aur raat ke nawafil din ke nawafil se afzal hain 

Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya:

farz namazon ke bad afzal namaz raat ki namaz hai.

📚Sahih Muslim.

🖋️Swalatul Lail ki ek qism Tahajjud hai ke isha ke bad rat me so kar ut'he aur nawafil padhen, sone se qabl jo kuch padhen wo tahajjud nahi

▶️kam se kam Tahajjud ki 2 rak'aten hain aur Huzoor e Aqdas ﷺ se 8 tak sabit hai.

is me qira'at ka ikhtiyar hai ke jo chahe padhen, behtar ye hai jitna Qur'an yad hai wo tamam padh lijie warna ye bhi ho sakta hai ke har rak'at me Sura Fatiha ke bad 3 , 3 baar Surah ikhlas padh lijie ke is tarah har rak'at me Qur'an e Kareem khatm karne ka sawab milega, aisa karna behtar hai. 

📚Fatawa Rizwiya, jild 7, saf 447

No comments