QURAN: "Aur kareeb hai ke koi baat tumhe napasand ho, halanki wo tumharey haq me behtar ho
QURAN: "Aur kareeb hai ke koi baat tumhe napasand ho, halanke wo tumharey haq me behtar ho."
(📚Sureh Baqra Ayat-216)
Koi chiz hame nagawar lage toh wo is baat ki alamat nahi ke wo hamarey liye napasand aur nuqsandah ho, jaise dawai kadwi hoti hai, injection,operation.. ye sab ba'zahir hamey pasand nahi jabke ye faida detey hai.
Thik is tarah koi chiz hame pasand aana ye is baat ki daleel nahi ke wo faidemand hi ho jaise bachcho ko padayi ki jagah khel pasand hota hai, sugar ke mareez ko mitayi pasand ho tho ye nahi ke wo uske liye faida ho balke nuqsan hai. Lehaza acha ya bura hone ka madaar apni sonch par nahi balke ALLAH ke hukm per rakho.
ALLAH ne jis chiz ka hukm diya wo hamarey liye behtar hai aur jissey mana kiya wo hamarey liye behtar nahi.
Post a Comment