इस्लाम में बीमारी और शिफा ( ISLAM AND MEDICAL SCIENCE ) ज्यादा से ज्यादा शेयर करें...




 Beemari aur Shifa :

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «مَا أَنْزَلَ اللَّهُ دَاءً إِلاَّ أَنْزَلَ لَهُ شِفَاءً».

🔹HADEES : Hzrt Abu Hurairah ؓ  Se Riwayat hai ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaya :

Allah Ta'ala Ne Jo bhi Beemari Naazil Farmayi Hai Uski Shifa Bhi Naazil Farmayi Hai.

📚Sahih Bukhari # 5678.

✍🏻Explanation of Allama Aini Rahimahullah :

1️⃣Allah Ta'ala ne jo beemari naazil ki hai yani Allah Ta'ala jis kisi ko beemari pahunchata hai to Allah Ne is beemari ki dawa bhi muqaddar Farmayi hai.

⭕ek eteraz ye hai ke hum kitne beemaron ko dekhte hain jo dawa khate hai aur sehat mand nahi hote❓

✅is ka jawab ye hai ke is marz ki dawa to hoti hai lekin in beemaron ko is marz ki dawa ka ilm nahi hota, ya ilaaj karne waale in ki beemari ki sahi tashkhees nahi karte.

2️⃣is Hadees me hai ke "Allah Ta'ala ne jo beemari naazil farmayi hai is ki dawa bhi naazil farmayi hai" 

➡️iska matlab : is se budhapa aur mouth mustashna hai, yani na budhape ki koi dawa hai aur na mouth ki koi dawa hai.

➡️is Hadees se maloom hua ke dawa waghairah se ilaaj karna jaaiz hai aur thib ka (medical science) ilm haasil karna jaaiz hai.

📚عمدةالقاری، ج٢١، ص٣۴١-٣۴٢، دارالکتب العلمیہ، بیروت ١۴٢١ھ.

No comments