शबे मेराज की नफ़्ल नमाज़ का तरीका(SHABE MERAJ KE NAFL NAMAZ KA TARIKA)




 ⏹SHABE MERAJ KE NAFL NAMAZ KA TARIKA:


*1) 12 RAKAT (2,2 karke):*


Har rakat Me sureh fatiha baad 5 baar sureh ikhlas.


12 rakat padne ke baad 100 baar kalmae Tamjeed👇🏻 (subhanallahi wal hamdulillahi wala ilaha illallahu wallahu akbar wala hawla wala quwwata illa billahil aliyyil azeem), 100 bar isteghfar (Astaghfirullaha rabbi min kulli zambiu wa atubu ilay) aur 100 bar darood.


*2) 6 RAKAT (2,2 karke):*


Har rakat me sureh fatiha baad 7 bar sureh ikhlas. 

6 rakat padney ke baad 50 bar darood padey.


*3) 2 RAKAT:*


Har rakat me sureh fatiha baad 27 bar sureh ikhlas pade. Aur qaide me athaiyat baad 27 bar daroode ibrahim padey


*4) 2 RAKAT:*


Pahli rakat me sureh fatiha baad 1 bar sureh Alam nashrah aur dusri rakat me sureh fatiha baad ek sureh quraish padey.


*5) 10 RAKAT (2,2 karke):*


Har rakat me sureh fatiha baad 3 bar sureh kafiroon, 3 bar sureh ikhlas pade. 

10 rakat baad ek bar kalma pade aur ye pade


"Allahumma salle ala sayyiduna mohammadin, wa aala aalihi zahireen wala hawla wala quwwata illa billahil aliyyil azeem"

1 comment: