Jannati Darwaaza Rayyan Jisse Rozedar Jannat Me Dakhil Hoge.

Jannat me Dakhilah

Hazrat Sahal Bin Sa'd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat karte hai ki Huzoor Nabi e Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :

Jannat Mein Ek Darwaaza hai Jise Rayyan Kaha Jaata hai

Qiyaamat Ke Din Roza Daar Us Me Se Daakhil Honge Aur Un Ke Siwa Us Darwaaze Se Ko’i Daakhil Nahin Hoga.

Kaha Jaa’ega  Kaha’n hain Roze Daar? Pas Woh Khade Honge Un Ke Alawa Us Me Se Ko’i Aur Daakhil Nahin Ho Sakega Jab Woh Daakhil Ho Jaa’ege To Use Band Kar Diya Jaa’ega, Phir Koi Aur Us Se Daakhil Nahin Ho Sakega.

Bukhari Fi As-Sahih, 02/671, #1797,
Muslim Fi As-Sahih, 02/808, #1152,
Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 03/199,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/305, #8294,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/192, #5970

No comments