73 FIRKE IN ISLAM (PART-3) ROMAN HINDI


HADEES - Meri ummat ka ek giroh qayamat aane tak haq par rahega aur dushman uska kuchh na bigaad sakenge

📕 Bukhari,jild 1,safah 61


Kahin mere aaqa sallallahu taala alaihi wasallam ye farmate hain ki meri ummat 73 firkon me bat jayegi to kahin aap sallallahu taala alaihi wasallam ye farmate hain ki meri ummat ka ek hi giroh haq par rahega to maanna padega ki ummat to firko me bategi aur unme 1 hi haq par hoga baaqi sab jahannami aur us ek ka naam ahle sunnat wal jamaat hai,is baat ki daleel main pichhli post me de chuka hoon phir bhi kuchh aur mulahza farma lein


HADEES - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki meri ummat gumrahi par jama na hogi aur jab tum ikhtilaf dekho to badi jamaat ko laazim pakdo

📕 Ibne maaja,safah 283


Ab badi jamaat se kya muraad hai aur kaun badi jamaat hai wo bhi isi hadees ke maathat isi ibne maaja sharif ke haashia me likha hai ki.


FUQHA - Ba wajood tamam 72 firko ke agar wo milakar bhi tum dekho to wo ahle sunnat ke daswe hisse ko bhi nahin pahunchte.

📕 Ibne maaja,hashia 1,safah 292


Baqayda naam ke saath farmaya gaya hai ki badi jamaat ahle sunnat wa jamaat hi hai lihaza isme zarra barabar bhi shaq w shubah ki gunjayish nahin ki ahle sunnat hi haq par hai,ab rahi iski baat ki har firka hi apne ko haq par bata raha hai to kaise pata chalega ki waqayi haq par kaun hai to ye masla to musalmano ki jamaat ka hai yaani ye firke naam nihaad musalman hi honge kaafiro me se nahin kyunki unki ginti 73 firko me nahin hai,ye isliye bata raha hoon ki agar wahabi kahta hai ki wo haq par hai to hindu bhi to kahta hai ki wo haq par hai agar devbandi kahta hai ki wo haq par hai to eesayi bhi to kahta hai ki wo haq par hai agar shiya kahta hai ki wo haq par hai to yahudi bhi to yahi kahta hai ki wo haq hai,matlab ye ki haq par hone ka daawa to sab kar rahe hain magar sirf kahne bhar se koi haq par nahin ho jayega uske liye daleel wa suboot ki zarurat padegi aur beshumar daleelon se saabit hai ki haq par sirf ahle sunnat wa jamaat hi hai,gairon ke muqaable musalman haq par hai iska zikr quran me hai jaisa ki Maula taala irshaad farmata hai ki


KANZUL IMAAN - Beshak ALLAH ke yahan islaam hi deen hai

📕 Paara 3,surah aale imran,aayat 19


Aur musalmano ki baat ki jaaye to hazrat aadam alaihissalam se lekar huzoor sallallahu taala alaihi wasallam tak jitne bhi ambiyaye kiraam guzre hain un sabme sabse afzal ummat ummate muhammadiya hai iska bhi tazkira quran me yun hai


KANZUL IMAAN - Aur baat yunhi hai ki humne tumhe kiya sab ummato me afzal taaki tum logon par gawaah ho aur ye rasool tumhare nigehban aur gawaah

📕 Paara 2,surah baqar,aayat 143


HADEES - Ek martaba huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ke saamne se ek janaza guzra to sahabaye kiram ne uski tareef ki to sarkar alaihissalam ne farmaya ki waajib ho gayi phir ek doosra janaza guzra jiski un logon ne burayi bayaan ki to huzoor sallallaho taala alaihi wasallam farmate hain ki waajib ho gayi,to hazrate umar farooqe aazam raziyallahu taala anhu ne poochha ki ya RASOOL ALLAH sallallaho taala alaihi wasallam kya cheez dono par waajib ho gayi to aap sallallaho taala alaihi wasallam farmate hain ki jiski tum logon ne tareef ki uspar jannat waajib ho gayi aur jiski tum logon ne burayi bayaan ki uspar jahannam waajib ho gayi kyunki tum zameen par ALLAH ke gawaah ho.

📕 Bukhari, jild 1, kitabul janayaz,  safah 555

Is aayat se aur hadeese paak se saaf zaahir hota hai ki ALLAH waale agar kisi ko kaafir kahte hain to wo ALLAH ke nazdeek bhi kaafir hi hai aur agar wo kisi ko gumrah kahte hain to yaqinan wo khuda ke nazdeek bhi gumrah hi hai lihaza usko chahiye ki saamne waale ko gaali dene ki bajaye apne gunahon ki maafi maange aur tauba kare to ye zyada behtar hota.

1 comment:

  1. Apne Confirm Kiase Kaha K 72 Firko mein Ahle Sunnat Jannat mein Jaye Gi .....Agr asa h to muje Quran mein likha ya reference Show kren Plz

    ReplyDelete