याददाश्त बढ़ाने के लिए हर नमाज़ के बाद इस अमल को करें, इंशाअल्लाह कामयाबी मिलेंगी...





YADDASHT, DIMAG YA MEMORY BADHANE KA WAZIFA AUR RUHANI ILAAJ:

➤ Paanchon (5) namaz ke baad daahine haath ki kuchh ungliya apne sar par rakhkar 11 baar YA QAVIYYO padhe, padhne - likhne walo ke liye bahut mufeed hai yaaddasht tez hogi.

📕 Jannati zevar,safah 476

➤ 5 badaam raat ko pani me bhigo dein subah uska chhilka utaarkar pees lein aur usme 10 gram makkhan aur 10 gram mishri milakar chaatein, har kism ke zofe dimaag ke liye mufeed hai.

📕 Haaziq, safah 18

Parhez : agar uljhan ke saath saath sar me dard ya nazla bhi rahta ho to khushbu aur sar me lagane ki dawaon se door rahein.

Giza : bakri ka gosht, lauki, paalak, moong, anda, doodh aur haazmedar gizayein.

1 comment:

  1. Mera dimag kamjor he Kuch BHI yaad Nahi rehta koi esa amal batai ye Jo sone ke time karana ho

    ReplyDelete