हज़रत फातिमा ज़ुहरा रज़ियल्लाहु तआला अन्हा (Hazrat Fatima Zuhra Raziyallahu Taala Anha)
Khatune Jannat Hazrat Fatima Zuhra Raziyallahu Taala Anha:
NAAM ——- Hazrat fatima zuhra raziyallahu taala anha
LAQAB —— Zuhra,butool
WAALID ——Rasool ALLAH sallallahu taala alaihi wasallam
WALIDA —– Hazrat khadija raziyallahu taala anha
WILADAT —- Elane nubuwat se 1 saal qabl
SHAUHAR — Maula ali raziyallahu taala anhu
NIKAH ——— 17 Rajab,peer,2 hijri
AULAAD —— (6) Hazrat imaam hasan,hazrat imaam husain,hazrat mohsin,hazrat zainab,hazrat kulsum,hazrat rukayya rizwanullahi taala alaihim ajmayeen
WISAAL ——– 3 Ramzan,mangal,11 hijri
"Aap raziyallahu taala anha ke fazaylo manaqib beshumar hain tahreer me nahin aa sakte magar husule barkat ke liye chund ka zikr karta hoon"
➤Aap nabiye paak ki sabse chhoti sahab zaadi hain,Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ko aapse behad muhabbat thi,aapke aane par huzoor sallallahu taala alaihi wasallam fauran khade ho jaate aapki peshani choomkar apni masnad par bithate.
➤Ummul momeneen sayyadna aisha siddiqa raziyallahu taala anha farmati hain ki maine uthne baithne chaal dhaal aur bartaav me fatima se badhkar kisi ko huzoor huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ke mushabah na dekha.
➤Mashhoor hai ki aapki rooh qabz karne ke liye hazrat israyeel alaihissalam nahin aaye balki khud rabbe zuljalaal ke hukm se aapki rooh qabz ho gayi
➤Aap kabhi namaz ke qayaam me hoti aur raat guzar jaati to kabhi ruku me aur kabhi ek hi sajde me poori raat nikal aati,aap farmati hain ki ai maula tune kaise chhoti chhoti raatein banayi hain ki fatima dil kholkar teri ibaadat bhi nahin kar paati.
➤Aap ek hi waqt me haathon se aata goondhti zabaan se quraan padhti dil me uski tafseer karti pairon se hasnain ka jhoola jhulati aur aankhon se khuda ki yaad me roya kartin.
Madarejun nubuwat,jild 2,safah 127-787-788
Sachchi hikayat,safah 325
Zarkani,jild 3,safah 200
Sharah salame raza,safah 459
Sachchi hikayat,safah 325
Zarkani,jild 3,safah 200
Sharah salame raza,safah 459
➤Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki fatima mere gosht ka ek tukda hai to jisne use naaraz kiya usne mujhe naaraz kiya aur jisne use taqleef di usne mujhe taqleef din (isi liye aapke nikah me rahte hue huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ne maula ali par doosra nikah haraam farma diya tha)
Mishkat,safah 568
➤Jis tarah hasnain karimain rizwanullahi taala alaihim ajmayeen jannati jawano ke sardar hain usi tarah hazrate fatima raziyallahu taala anha jannati aurton ki sardaar hain
Bukhari,jild 1,safah 532
➤ Ek martaba maula ali raziyallahu taala anhu ne huzoor sallallahu taala alaihi wasallam se poochha ki aap kisko zyada mahboob rakhte hain mujhe ya fatima ko to aap sallallahu taala alaihi wasallam farmate hain ki beshak fatima mujhe tumse zyada mahboob hai aur tum mere nazdeek unse zyada izzat waale ho.
Ashraful moabbad,safah 53
➤Aap insani shakl me hoor thin isi liye aapko kabhi haiz nahin aaya aur bachcha hone ke baad fauran aap nifaas se paak ho jaati thin isi liye aapka laqab zuhra hua.
Barkaate aale rasool,safah 123
➤Aapke wisaal se pahle aapne hazrat asma bint qais jo ki hazrat abu bakr siddiq raziyallahu taala anhu ki biwi hain unse farmaya ki is tarah mardon ki tarah aurton ka janaza le jaana mujhe pasand nahin,to aapke liye ek lakdi ka gahwara banaya gaya aur uspar parda daalkar aapko dokhaya gaya jise dekhkar aap bahut khush huyin.
Khutbate muharram,safah 305
👌👌👌
ReplyDelete