GOUSE AZAM NE MURDA KO ZINDA KIYA (ग़ौसे आज़म ने मूर्दे को ज़िंदा किया)

               

GOUSE AZAM NE MURDA KO ZINDA KIYA:



➤आपके नाना हज़रत अब्दुल्लाह सूमई रज़ियल्लाहु तआला अन्हु के पास एक बेवा औरत अपने मुर्दा बच्चे को लाई और रोकर कहने लगी कि मेरे शौहर की यही एक निशानी मेरे पास रह गयी है,अगर ये भी मुझसे जुदा हो गया तो मेरे जीने का सहारा टूट जायेगा,आपने ऊपर देखा कि उस बच्चे की ज़िन्दगी खत्म हो चुकी है आपने उससे वही कह दिया वो रोती हुई जाने लगी,रास्ते में हुज़ूर ग़ौसे पाक रज़ियल्लाहु तआला अन्हु जो कि अभी बच्चे थे आपने जो उसको रोते हुए देखा तो हाल पूछा तो उसने सारा माजरा कह सुनाया,आपको उसके हाल पर रहम आ गया और उससे फरमाया कि अम्मा जान आपका बच्चा मरा कहां है वो तो ज़िंदा है आप देखिये तो सही,अब जब उसने बच्चे को देखा तो वो वाक़ई ज़िन्दा और हरकत करता हुआ नज़र आया,उसी वक़्त आपने नाना जान भी आ गए और आपको घूरकर जो देखा तो आपने डरकर भागना शुरू कर दिया और आपके नाना आपके पीछे हो लिए,आप भागते हुए कब्रिस्तान में दाखिल हो गए और फरमाया कि ऐ क़ब्रिस्तान के मुर्दों मेरी मदद करो,आपका इतना कहना था कि 300 मुर्दे अपनी क़ब्र से बाहर निकल आये और आपके और आपके नाना के बीच दीवार बनकर खड़े हो गए,ये देखकर हज़रते अबदुल्लाह सूमई रज़ियल्लाहु तआला अन्हु रुक गए और दूर हुज़ूर ग़ौसे पाक रज़ियल्लाहु तआला अन्हु भी खड़े होकर मुस्कुराने लगे,आपके नाना ने अपना सरे अक़दस खम कर दिया और फरमाते हैं कि ऐ बेटा हम तुम्हारे मर्तबे को नहीं पहुंच सकते

📕 शरह हिदायके बख्शिश,सफह 143




यहां पर कोई ऐतराज़ कर सकता है क जब एक वली ने देखकर बता दिया कि उसकी ज़िन्दगी खत्म हो चुकी है तो फिर उस मुर्दा बच्चे को कोई ज़िंदा कैसे कर सकता है,तो इसके 2 जवाब हैं पहला तो उसी रिवायात में मौजूद है कि खुद हज़रत अब्दुल्लाह सूमई रज़ियल्लाहु तआला अन्हु फरमाते हैं कि "बेटा हम तेरे मरतबे को नहीं पहुंच सकते" मतलब साफ है कि वली तो बेशक वो हैं मगर उस मरतबे के नहीं कि मुर्दे जिला सकें जैसे कि मेरे ग़ौसे आज़म हैं और दूसरा ये कि तक़दीर यानि क़ज़ा की 3 किस्में हैं*

1 क़ज़ाये मुबरम हक़ीक़ी - कि इल्मे इलाही मे किसी शय पर मुअल्ल्क़ नहीं यानि इसकी तबदीली नामुमकिन है,औलिया की इस तक रसाई नहीं बल्कि अम्बिया अलैहिस्सलाम भी अगर इसके बारे मे कुछ अर्ज़ करना चाहें तो उन्हे रोक दिया जाता है

2 क़ज़ाये मुअल्ल्क़ महज़ - कि फरिशतो के सहीफों में किसी शय मसलन दवा या दुआ वगैरह पर उसका मुअल्ल्क़ होना ज़ाहिर फरमा दिया गया है,इस पर अकसर औलिया की रसाई होती है उनकी दुआओं और तवज्जह से टल जाया करती है

3 क़ज़ाये मुअल्ल्क़ शबीह ब मुबरम - कि इल्मे इलाही मे वो किसी चीज़ पर मुअल्ल्क़ है लेकिन फरिश्तों के सहीफों में मुअल्ल्क़ होना मज़कूर नहीं,इस पर रसाई सिर्फ खास औलिया की ही होती है जैसा कि सय्यदना ग़ौसे आज़म रज़ियल्लाहो तआला अन्हु फरमाते हैं कि मैं क़ज़ाये मुबरम को टाल देता हूं

📕 बहारे शरीअत,हिस्सा 1,सफह 6-7
📕 अनवारुल हदीस,सफ़ह 120


तो हो सकता है कि उस बच्चे की मौत क़ज़ाये मुअल्लक़ शबीह ब मुबरम के तहत हुई हो यानि मौत तो हुई और यही फरिश्तों के सहीफों में दर्ज है मगर इसके आगे का ज़िक्र नहीं जहां से हज़रत अब्दुल्लाह सूमई ने देख लिया हो मगर इससे आगे की रसाई उनकी भी नहीं है मगर सय्यदना ग़ौसे आज़म रज़ियल्लाहु तआला अन्हु ने वो देख लिया कि बेशक मौत तो हुई मगर वो मुअल्लक़ है यानि ठहरी हुई है और आपने अपने रब के दिए हुए इख्तियार से उस मुर्दा बच्चे को फिर से ज़िंदा फरमा दिया और अम्बिया व औलिया का ये इख्तियार क़ुर्आन मुक़द्दस से साबित है,मौला तआला फरमाता है कि हज़रत ईसा अलैहिस्सलाम ने कहा

कंज़ुल ईमान - मैं तुम्हारे लिए मिटटी से परिन्द की मूरत बनाता हूं फिर उसमे फूंक मारता हूं तो वो फौरन ज़िंदा हो जाती है अल्लाह के हुक्म से,और मैं शिफा देता हूं मादरज़ाद अन्धे और सफेद दाग वाले को और मैं मुर्दे जिलाता हूं अल्लाह के हुक्म से

📕 पारा 3,सूरह आले इमरान,आयत 49


अंधों को आंख देना कोढ़ियों को शिफा देना मिट्टी के जानवर को ज़िन्दा करके उड़ा देना ये सब खुदा के काम हैं मगर खुदा के हुक्म से ये सारे काम हज़रत ईसा अलैहिस्सलाम कर रहे हैं,अब कोई कह सकता है कि वो तो नबी थे उनकी बात और है तो इसका जवाब ये है कि बेशक वो नबी ही थे खुदा तो नहीं थे जब उनके लिए मुर्दे जिलाने का इख्तियार हो सकता है तो मुस्तफा जाने रहमत सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम के लिए और उनकी उम्मत के औलिया के लिए वही इख्तियार क्यों नहीं हो सकता,फिर यहां पर एक ऐतराज़ और किया जा सकता है कि क़ुर्आन में तो लिखा है कि हज़रत ईसा अलैहिस्सलाम ने अल्लाह के हुक्म से जिलाया,अरे जनाब तो हम कब कहते हैं कि किसी अम्बिया व औलिया ने खुद अपने इख्तियार से कोई काम किया हो हम अहले सुन्नत व जमाअत का यही अक़ीदा है कि बेशक वो हर काम कर सकते हैं मगर खुदा की मर्ज़ी से यानि उसके दिए हुए इख्तियारात से,और अगर कोई ये कहता है कि अम्बिया व औलिया को खुदा से कुछ लेने की ज़रूरत नहीं है वो अपनी मर्ज़ी और पावर से भी ये काम कर सकते हैं तो ऐसा शख्स हमारे नज़दीक काफिर है क्योंकि बगैर खुदा के दिए हुए कोई एक ज़र्रा भी इधर से उधर नहीं कर सकता,मगर आज कुछ लोग तो अम्बिया व औलिया को अल्लाह का दिया हुआ इख्तियार भी नहीं मानते हैं तो ऐसा शख्स भी क़ुर्आन का मुनकिर है और वो भी काफिर है.

-----------------------------------------

➤Aapke nana hazrat abdullah sumayi raziyallahu taala anhu ke paas ek bewa aurat apne murda bachche ko laayi aur rokar kahne lagi ki mere shouhar ki yahi ek nishani mere paas rah gayi hai,agar ye bhi mujhse juda ho gaya to mere jeene ka sahara toot jayega,aapne lauhe mahfooz par jo nazar ki to dekha ki us bachche ki zindagi khatm ho chuki hai aapne usse wahi kah diya wo roti huyi jaane lagi,raaste me huzoor ghouse paak raziyallahu taala anhu jo ki abhi bachche the aapne jo usko rote hue dekha to haal poochha to usne saara maajra kah sunaya,aapko uske haal par raham aa gaya aur usse farmaya ki amma jaan aapka bachcha mara kahan hai wo to zinda hai aap dekhiye to sahi ab jab us bachcho ko dekha to wo waqayi zinda aur harqat karta hua nazar aaya,usi waqt aapne naana jaan bhi aa gaye aur aapko ghoorkar jo dekha to aapne darkar bhaagna shuru kar diya aur aapke nana peechhe ho liye,aap bhaagte hue kabristan me daakhil ho gaye aur farmaya ki ai qabristan ke murdon meri madad karo,aapka itna kahna tha ki 300 murde apni qabr se baahar nikal aaye aur aapke aur aapke naana ke beech deewar bankar khade ho gaye,ye dekhkar hazrate abullah sumayi raziyallahu taala anhu ruk gaye aur door huzoor ghouse paak raziyallahu taala anhu bhi khade hokar muskurane lage,aapke naana ne apna sare aqdas kham kar diya aur farmate hain ki ai beta hum tumhare martabe ko nahin pahunch sakte

📕 Sharah hidayqe bakhshish,safah 143


Yahan par koi aitraaz kar sakta hai ki jab ek wali ne dekhkar bata diya ki uski zindagi khatm ho chuki hai to phir us murda bachche ko koi zinda kaise kar sakta hai,to iske 2 jawab hain pahla to usi riwayat me maujood hai ki khud hazrat abdullah sumayi raziyallahu taala anhu farmate hain ki "beta hum tere martabe ko nahin pahunch sakte" matlab saaf hai ki wali to beshak wo hain magar us martabe ke nahin ki murde jila saken jaise ki mere ghause aazam hain aur doosra ye ki taqdeer yaani qaza ki 3 kismein hain.

1-Qazaye mubram haqiqi - Ki ilme ilaahi me kisi shay par muallaq nahin yaani iski tabdeeli namumkin hai,auliya ki is tak rasayi nahin balki ambiya alaihissalam bhi agar iske mutalliq kuchh arz karna chahte hain to unhein bhi rok diya jaata hai

2-Qazaye muallaq mahaz - Ki farishton ke sahifon me kisi shay par maslan dua ya dawa wagairah par iska muallaq hona zaahir farma diya gaya hai,ispar aksar auliya ki rasayi hoti hai jo unki tawajjoh se tal jaaya karti hai

3-Qazaye muallaq shabih ba mubram - Ki ilme ilaahi me wo kisi cheez par muallaq hai magar farishton ke sahifon me muallaq hona mazkoor nahin,ispar rasayi sirf khaas auliya ki hoti hai jaise ki huzoor ghause paak raziyallahu taala anhu farmate hain ki main qazaye mubram ko taal deta hoon.

📕 Bahare shariyat,hissa 1,safah 6-7
📕 Anwarul hadees,safah 120

To ho sakta hai ki us bachche ki maut qazaye muallaq shabih ba mubram ke tahat huyi ho yaani maut to huyi aur yahi farishton ke sahifon me darj hai jahan se hazrat abdullah sumayi ne dekh liya ho magar isse aage ki rasayi unki bhi nahin hai magar sayyadna ghause aazam raziyallahu taala anhu ne wo dekh liya ki beshak maut to huyi magar wo muallaq hai yaani thahri huyi hai aur aapne apne rub ke diye hue ikhtiyar se us murda bachche ko phir se zinda farma diya aur ambiya wa auliya ka ye ikhtiyar quran muqaddas se saabit hai,maula taala farmata hai ki hazrat eesa alaihissalam ne kaha ki.

KANZUL IMAAN - Main tumhare liye mitti se parind ki moorat banata hoon phir usme phoonk maarta hoon to wo fauran zinda ho jaati hai ALLAH ke hukm se,aur main shifa deta hoon maadar zaad andhe aur safed daag waale ko aur main murde jilaata hoon ALLAH ke hukm se.

📕 Paara 3,surah aale imran,aayat 49


Andhon ko aankh dena kodhiyon ko shifa dena miiti ke jaanwar ko zinda karke uda dena ye sab khuda ke kaam hain magar khuda ke hukm se ye saare kaam hazrat eesa alaihissalam kar rahe hain,ab koi kah sakta hai ki wo to nabi the unki baat aur hai to iska jawab ye hai ki beshak wo nabi hi the khuda to nahin the jab unke liye murde jilaane ka ikhtiyar saabit ho sakta hai to mustafa jaane rahmat sallallaho taala alaihi wasallam ke liye aur unki ummat ke auliya ke liye wahi ikhtiyar kyun nahin ho sakta,phir yahan par ek aitraaz aur kiya ja sakta hai ki quran me to likha hai ki hazrat eesa alaihissalam ne ALLAH ke hukm se jilaya,are bhai to hum kab kahte hain ki kisi ambiya wa auliya ne khud apne ikhtiyar se koi kaam kiya ho hum ahle sunnat wa jamaat ka yahi aqeeda hai ki beshak wo har kaam kar sakte hain magar khuda ki marzi se yaani uske diye hue ikhtiyarat se aur agar koi ye kahta hai ki ambiya wa auliya ko khuda se kuchh lene ki zarurat nahin hai wo apni marzi aur power se bhi ye kaam kar sakte hain to aisa shakhs hamare nazdeek kaafir hai kyunki bagair khuda ke diye hue koi ek zarra bhi idhar se udhar nahin kar sakta,magar aaj kuchh log to ambiya wa auliya ko ALLAH ka diya hua ikhtiyar bhi nahin maante hain to aisa shakhs bhi quran ka munkir hai aur wo bhi kaafir hai*