जानिये ! इस्लाम में ही बेटियों की शान ऊँची क्यों है ? सबकी की तम्मना यही होगी कि पहली औलाद बेटी हो।





"Beti paida hone par gham karna kuffar ka tariqa hai"



QURAN

➤Aur jab unme kisi ko beti hone ki khushkhabri di jati hai toh din bhar uska muh kaala rahta hai aur wo ghusse se bhara hota hai

(📚Para-14 sureh nahal ayat 58-59) 


💚TAFSEER💚

Imam Faqruddin raazi alaihi rahma is ayat ke taheth farmate hai zamanae jahiliyat me kuffar alag alag tariqo se apni betio ka qatl kardete the,kuch unhe zinda dafan karte,kuch unhe pahad se phenk dete, kuch unhe pani me gharak kardete the.

(📚Tafseer Kabeer Sureh Nahal)



"Ye islam hi ka kaarnama hai jisne sabse pahle Aurto ko huqooq dilwaye aur unhe izzat o waqar se nawaza hai..

Jis zamane me aurto ko zehmat(takleef) samja jata tha, Aaqa alaihis salam ne Aurto ko rahmat ke darje Se nawaza..

Jinke pair gharme aane se manhoosi samja jata tha,aaj us pairo me jannat talashne kaha gaya.."




🔸BETI HONE PAR FARISHTO KI MUBARAKBADI:


Jab kisi ke yaha beti paida hoti hai toh ALLAH paak farishto ko bhejta hai,wo aakar kahte hai aye gharwalo! Tum par salamati nazil ho,phir wo us beti ko apne paro se ihata (danp,cover) karlete hai aur uske sar par apna hath pherte hue kahte hai

"Ek kamzor ladki ek kamzor aurat se paida hui hai, jo iski kifalat(dekh bhaal) karega qayamat ke din uski madad ki jayegi."

(📚Al'mujam'us sagheer)



"Resham ki tarah naram si hoti hai betiya..
auro ka dard dekhke roti hai betiya,
Beta tho ek ghar ko hi roshan kare magar..
dono gharo pe noor lutati hai betiya"




🔸BETE AUR BETI KO EK JAISA DEKHE:

"Jis shaks ke yaha beti paida ho aur wo usey zinda na dafnaye, usey zaleel na samje aur apne bete ko uspar tarji (value) na de toh ALLAH usey jannat me dakhil karega."

(📚Abu Dawood Hadees-5146)




🔸MUBARAK AURAT KAUN?

Aurat ke liye ye bahot hi mubarak hai ke uski pahli aulad BETI ho.
(📚Tareeq ibne Asakir)




🔸KYA APKO PATA HAI?

Hzt Luth Alaihis salam aur Hzt Shoaib Alaihis salam ke aulaad sirf Betiya hi thi.

(📚Tafseere Madarik Para-25)