HAZRAT USMAAN GHANI RADIALLAU TA'ALA ANHU (हज़रत उस्मान ग़नी रजिअल्लाहु त'अला अन्हु )
"आपका सिलसिलाये नस्ब इस तरह है उस्मान बिन अफ्फान बिन अबुल आस बिन उमैय्या बिन अब्दे शम्श बिन अब्दे मुनाफ,अब्दे मुनाफ पर आपका नस्ब हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम से जा मिलता है,और आपकी वालिदा का नाम उर्वी बिन्त करीज़ बिन रबिया बिन हबीब बिन अब्दे शम्श है ये हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम की फूफी ज़ाद बहन थी|"
आपकी सीरत एक पोस्ट में बता पाना नामुमकिन है मगर हुसूले फैज़ के लिए चंद हर्फ आपकी शान में लिखता हूं मौला तआला क़ुबूल फरमाये|
➤आप हज़रत अबु बक्र व हज़रत अली व हज़रत ज़ैद बिन हारिसा के बाद ईमान लाये और आप चौथे मुसलमान थे|
➤आपका पहला निकाह हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम की बेटी हज़रते रुकय्या रज़ियल्लाहु तआला अन्हा के साथ हिजरत से क़ब्ल हुआ,आप हर जंग में हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम के साथ ही रहे मगर जंगे बद्र में शरीक ना हो सके क्योंकि उस वक़्त हज़रते रुकय्या की तबियत बहुत ज़्यादा अलील थी और हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम ने उन्हें उनकी देखभाल करने के लिए रोक दिया था,पर इसी बीमारी में ही 3 हिजरी में आपका इंतेक़ाल हो गया जिस वक़्त क़ासिद बद्र के फतह की खुश खबरी लेकर आया उस वक़्त आप हज़रते रुकय्या को दफ़्न फरमा रहे थे,चुंकि माले गनीमत में हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम ने बाक़ी गाज़ियों की तरह आपका भी हिस्सा लगाया इसलिए आपको भी ग़ज़्वये बद्र में शुमार किया जाता है,उसके बाद हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम ने अपनी दूसरी बेटी हज़रते उम्मे कुलसूम रज़ियल्लाहु तआला अन्हा का निकाह आपसे कर दिया,हज़रते रुकय्या से एक औलाद हज़रत अब्दुल्लाह पैदा हुए मगर वो भी 6 साल की उम्र में ही इंतेकाल फरमा गए और हज़रते उम्मे कुलसुम से आपको कोई औलाद न हुई और शअबान 9 हिज्री में हज़रते उम्मे कुलसूम भी वफात पा गईं|
➤हज़रत आदम अलैहिस्सलाम से लेकर हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम तक कोई ऐसा शख्स नहीं हुआ जिसके निकाह में किसी नबी की 2 बेटियां आयी हो सिवाये हज़रते उसमान ग़नी रज़ियल्लाहु तआला अन्हु के इसीलिए आपका लक़ब ज़ुन्नुरैन हुआ,हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम फरमाते हैं कि अगर मेरी 40 बेटियां होती और वो सब एक के बाद एक इंतेक़ाल करती जाती तो मैं एक के बाद एक उन्हें उस्मान के निकाह में देता जाता|
➤आप बहुत ही शर्मीले और हयादार थे और आपके फज़ायल में ये बात क़ाबिले ज़िक्र है कि जब भी आप हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम से मिलने जाते तो हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम अपने कपड़े वगैरह दुरुस्त कर लिया करते थे और फरमाते कि मैं उस शख्स से क्यों ना हया करूं जिससे फरिश्ते भी हया करते हैं|
➤आप तीसरे खलीफा हुए और खिलाफत की मुद्दत कुछ कमो बेश 12 साल रही इस दौरान इस्लामी सल्तनत अरब से निकलकर हिंदुस्तान अफगानिस्तान रूस लीबिया रोम और भी बहुत से मुल्कों तक पहुंच गई|
➤क़ुर्आन को जमा करने का शर्फ आपको ही हासिल हुआ और आप ही वो पहले शख्स हैं जिन्होंने 1 किरात में क़ुर्आन खत्म की|
➤आपसे 146 हदीसें मरवी हैं|
➤आप 18 ज़िल हिज्जा बरौज़ जुमा 35 हिज्री को शहीद हुए,आपके क़ातिल का नाम अस्वद तजीबी था,आपकी नमाज़े जनाज़ा हज़रते ज़ुबैर रज़ियल्लाहु तआला अन्हु ने पढ़ाई और आपको जन्नतुल बक़ीअ में दफ्न किया गया ( आपकी शहादत का वाक़िया काफी लम्बा है आईन्दा कभी बयान करूंगा इन शा अल्लाह तआला )
(तारीखुल खुल्फा,सफह 231-252)
💚करामत 💚
हज़रत उस्मान ग़नी रज़ियल्लाहु तआला अन्हु के पास एक शख्स हाज़िर हुआ जो रास्ते में एक औरत को बद नज़री से देखकर आया था,जब वो आपके सामने आया तो आप जलाल में फरमाते हैं कि तुम लोग इस हालत में मेरे सामने आते हो कि तुम्हारी आंखों ने ज़िना किया होता है तो वो कहने लगा कि क्या आप पर भी वही आती है जो आपको इल्म हो गया,तो आप फरमाते हैं कि बेशक मेरे पास वही नहीं आती मगर अल्लाह का नूर मेरे क़ल्ब में मौजूद है जिससे मैं लोगों का हाल और दिलों के खयालात मालूम कर लेता हूं|
(करामाते सहाबा,सफह 59)
"Aapka silsilaye nasb is tarah hai Usmaan bin Affan bin Abul aas bin Umaiyya bin Abde shamsh bin abde munaaf,abde munaaf par aapka nasb Huzoor Sallallahu taala alaihi wasallam se ja milta hai,aur aapki walida ka naam Urwi bint Kareez bin Rabiya bin habeeb bin Abde shamsh hai ye Huzoor Sallallahu taala alaihi wasallam ki foofi zaad bahan thi."
आपकी सीरत एक पोस्ट में बता पाना नामुमकिन है मगर हुसूले फैज़ के लिए चंद हर्फ आपकी शान में लिखता हूं मौला तआला क़ुबूल फरमाये|
➤Aapki wiladat aammul feel yaani haathi waale waqiye ke 6 saal baad huyi.
➤Aap hazrat Abu Bakr wa Hazrat Ali wa Hazrat Zaid bin harisa ke baad imaan laaye aur aap chauthe musalman the aur Ap Islam ke Tisre (3rd) Khalifa bhi huye.
➤Aapka pahla nikah Huzoor Sallallahu taala alaihi wasallam ki beti hazrate Rukayya raziyallahu taala anha ke saath hijrat se qabl hua,aap har jung me huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ke saath hi rahe magar junge badr me shareek na ho sake kyunki us waqt hazrate rukayya ki tabiyat bahut zyada aleel thi aur huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ne unhein unki dekh bhaal karne ke liye rok diya tha,par isi bimari me hi 3 hijri me aapka inteqaal ho gaya jis waqt qaasid badr ke fatah ki khush khabri lekar aaya us waqt aap hazrate rukayya ko dafn farma rahe the,chunki maale ganimat me huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ne baaqi gaaziyon ki tarah aapka bhi hissa lagaya isliye aapko bhi gazwaye badr me shumaar kiya jaata hai,uske baad huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ne apni doosri beti hazrate Umme Kulsum raziyallahu taala anha ka nikaah aapse kar diya,hazrate rukayya se ek aulaad hazrat abdullah paida hue magar wo bhi 6 saal ki umr me hi inteqal farma gaye aur hazrate umme kulsum se aapko koi aulaad na huyi aur shaaban 9 hijri me hazrate umme kulsum bhi wafaat pa gayin.
➤Hazrat Aadam alaihissalam se lekar huzoor sallallahu taala alaihi wasallam tak koi aisa shakhs nahin hua jiske nikah me kisi nabi ki 2 betiyan aayi ho siwaye hazrate usmaan gani raziyallahu taala anhu ke isi liye aapka laqab zunnurain hua,huzoor sallallahu taala alaihi wasallam farmate hain ki agar meri 40 betiyan hoti aur wo sab ek ke baad ek inteqaal karti jaati to main ek ke baad ek unhein usmaan ke nikaah me deta jaata.
➤ Aap bahut hi sharmile aur hayadaar the aur aapke fazayal me ye baat qaabile zikr hai ki jab bhi aap huzoor sallallahu taala alaihi wasallam se milne jaate to huzoor sallallahu taala alaihi wasallam apne kapde wagairah durust ka liya karte the aur farmate ki main us shakhs se kyun na haya karun jisse farishte bhi haya karte hain.
➤Aap teesre khalifa hue aur khilafat ki muddat kuchh kamo besh 12 saal rahi is dauraan islaami sultanat arab se nikalkar hindustan afganistan roos libiya rome aur bhi bahut se mulko tak pahunch gayi.
➤Quran ko jama karne ka sharf aapko hi haasil hua aur aap hi wo pahle shakhs hain jinhone 1 kiraat me quran khatm ki.
➤Aapse 146 hadisein marwi hain.
➤Aap 18 zilhijja barauz juma 35 hijri ko shaheed hue,aapke qaatil ka naam aswad tajeebi tha,aapki namaze janaza hazrate zubair raziyallahu taala anhu ne padhayi aur aapko jannatul baqi me dafn kiya gaya. ( Aapki shahadat ka waqiya kaafi lamba hai aayinda kabhi bayaan karunga in sha ALLAH taala ).
(Tarikhul khulfa,safah 231-252)
KARAMAT
Hazrat Usman Gani Raziyallahu taala anhu ke paas ek shakhs haazir hua jo raaste me ek aurat ko bad nazri se dekhkar aaya tha,jab wo aapke saamne aaya to aap jalaal me farmate hain ki tum log is haalat me mere saamne aate ho ki tumhari aankhon ne zina kiya hota hai to wo kahne laga ki kya aap par bhi wahi aati hai jo aapko ilm ho gaya,to aap farmate hain ki beshak mere paas wahi nahin aati magar ALLAH ka noor mere qalb me maujood hai ki jisse main logon ka haal aur dilon ke khayalat maloom kar leta hoon.
(Karamate sahaba,safah 59)
Post a Comment