🔸AQAID E HAZRAT GAUS E PAAK رضي الله عنه
➤ALLAH TA'ALA Ko Dekhna:
Ahle Hadees Wahbi Deobandi K Nazdeek Jisne Kaha NABI ﷺ Ne ALLAH Taala Ko Dekha Woh Jhuta Hai Aur Hawala Bukhari Shareef Ki Hadees Hazrat Ayesha رضي الله عنهما Ki Riwayat Ka Dete Hai.
Ab Dekhte Hai Aqeeda Hazrat Gaus E Paak Ka:
📚 Kitab Gunya Tu Talibeen
Yeh Kitaab Arbi Me Thi Aur Iska Tarjuma Kiya Hai Ahle Hadees Hafiz Mubashhir Hussain Lahori Likhte Hai:
📘 Safa No. 178 :
🔷 “Humara Aqeeda Hai K NABI ﷺ Ne Shab E Meraj Bedaari Ki Haalat Me (Khwab Me Nahi) Apne Sir Wali Aakhon Se (Dil Se Nahi) ALLAH TA'ALA Ka Deedar Kiya Hai
🔷 Jaisa K Hazrat Jabir رضي الله عنه Riwayat Karte Hai K NABI ﷺ Ne Aayat (AAP ﷺ Ne ALLAH Ko Dusri Martaba Dekha ,Surah Najam Aayat 13, Ki Tafseer Me Farmaya K Mene Bila Shak Wa Shuba Apne Rab Ko Apne Saamne Dekha”.
🔷 Aur Akhir Ki Line Per Gaur Kare Hazrat Ibn Abbas رضي الله عنه Se Jo Riwayat Hai Ki Farmate Hai K HAZRAT MUHAMMAD ﷺ Ne Apni Ankhon Se 2 Martaba Rabtaala Ka Deedar Kiya.
Subhan ALLAH
🔷 Hazrat Gaus E Paak رضي الله عنه Khud Apna Aqeeda Bayan Farma Rahe Hai Aur Ahle Hadees Wahbi Apne Batil Aqeede Per Qayam Rehkar Haddharmi Se Kaam Lete Hue Hazrat Gaus E Paak Ko Apna Buzurg Mante Hai Lekin Hazrat Gaus E Paak Ki Ek B Nahi Mante Aur Naahi Hazrat Gaus E Paak Ka Jo Aqeedah Hai Us Per Inka Koi Amal Saabit Hai.
📝 Aur Aage Khud Hazrat Gaus E Paak Hazrat Ayesha Wali Hadees Ka Jawab Dete Hai , (Safa 179)
🔶 “ Yeh Riwayat Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ki Riwayat Se Muta’araz Nahi Q K Inki Riwayat Me Naïf Hai Aur Yeh Isbaat Hai Aur Ijtama’a K Waqt Isbaat Naïf Per Muqaddam Hota Hai Aur Nabi SwallALLAHualaihiwasallam Ne Bhi Apni Rue’yat Ka Isbaat Farmaya.
🔶 Yaha Per Hazrat Gaus E Paak Khud Kehrahe Hai Ki Nabi SwallALLAHualaihiwasallam K Muqabil Hazrat Ayesha Radiallataala Anha Ka Qaul Nahi Maana Jayega.
Ahle Hadees Deobandi Se Guzarish Hai Ki Aap Hazrat Gaus E Paak Ko Apna Wali Mante Hai Toh Unke Aqeede Ko B Mane Aur Bilkul B Na Chode.
Post a Comment