Marhoom Ke Naam Se Isaale Sawab Karne Ka Faida.
Marhoom Ke Naam Se Isaale Sawab Karne Ka Faida :
Hazrate Burida رَضِیَ اللهُ عَنْهُ bayan karte hain ki : Main Huzur ﷺ ke paas baitha hua tha ki ek aurat aayi aur arz ki: Maine apni Maa ko ek baandi sadqa me diya tha, Aur ab meri maa ka inteqaal ho gaya hai. Aap ﷺ ne farmaya: Tumhe sadqe ka sawab mil gaya aur waraasat me wo baandi tumhe lauta diya.Us aurat ne arz kiya: Ya Rasoolallah ﷺ! Meri maa par ek mahine ke roze baaqi the, Kya mai unki taraf se roze rakhu? Aap ﷺ ne farmaya ki: haan. Usne arz kiya:Meri maa ne Haj kabhi nahi kiya tha,Kya mai unki taraf se Haj adaa karu? Aap ﷺ ne farmaya ki : Haan, Uski taraf se Haj bhi adaa kar lo.
📓Sahih Muslim | Hadees No.1149
Note: Ibaadat ki 2 qism hain.Ek Maali,Jaise Sadqa,Khairaat jis me maal kharch kiya jaata hai.Dusra Badni, Jaise Namaz,Roza,Quran Majeed ki tilawat,Kalima aur Darood sharif wagairah,Yani jis me badan ka istemaal kiya jaye. Ahle sunnat wal jama'at ka ittefaaq hai ki har tarah ki ibaadat ka sawab chaahe woh maali ho ya badni marhoom ko pahunchta hai aur usse unko bada faaida hota hai.
Post a Comment