जानिये ! आयतल कुर्सी की बेशुमार फ़ज़ीलत, पढ़कर दूसरों तक शेयर जरुर करें.. (AYATAL KURSI KI FAZILAT)




Hadees paak me hai ki Quran ki aayato me sabse azmat wali aayat AYATAL KURSI hai, iske beshumar fazayal hain chand yahan zikr kar raha hu.



AYATAL KURSI KI FAZILAT

➤ HADEES SHARIF: Nabi E Karim Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki jo shakhs har farz namaz ke baad aaytal kursi padhega wo to marte hi fauran jannat me daakhil hoga.

📕 Mishkat,jild 1,safah 89

➤ HADEES SHARIF: Ek martaba Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne hazrat Abu huraira raziyallahu taala anhu ko sadqaye fitr ki hifazat ke liye muqarrar kiya, ek raat aapne dekha ki ek chor chand boriya uthaye liye ja raha hai aapne use pakad liya ispar wo rone laga ki main bahut gareeb aadmi hoon mujhe jaane dijiye hazrat abu huraira raziyallahu taala anhu ka dil pighal gaya aur aapne use chhod diya, dusre din jab Sarkar sallallaho taala alaihi wasallam se mulaqat huyi to mere aaqa sallallaho taala alaihi wasallam khud hi irshad farmate hain ki ai Abu huraira raat waale chor ka kya kiya, is par wo farmate hain ki mujhe raham aa gaya aur maine use jaane diya to huzoor sallallaho taala alaihi wasallam farmate hain ki wo jhootha hai aaj fir aayega hoshiyar rahna, 



raat ko fir wahi chor aaya aur pakda gaya is baar fir usne ro ro kar duhayi di to fir se hazrat abu huraira raziyallahu taala anhu ko uspar raham aa gaya aur use jaane diya, fir doosre din sarkaar ne puchha ki us chor ka kya kiya to wo bole ki usne apni mohataaji ki shikayat ki to maine use chhod diya fir aaqa farmate hain ki wo jhootha hai aaj fir aayega,  

raat ko fir wahi aaya aur fir se pakda gaya ab hazrat abu huraira raziyallahu taala anhu ne kaha ki aaj to main tujhe hargiz nahin chhodunga jab chor ne jaan liya ki aaj nikalna mushkil hai to kahne laga ki agar aap mujhe chhodne ka waada karen to main aapko ek bahut ilm waali baat bataoon ispar hazrat abu huraira raziyallahu taala anhu taiyar ho gaye to wo bola ki jab bhi aap sone ko bistar par jao to AAYTAL KURSI liya karo ki isse ALLAH tumhari raat bhar hifazat farmayega aur shaitan tumhare nazdeek nahin aa payega, ye sunkar hazrat abu huraira raziyallahu taala anhu bahut khush hue aur use chhod diya, subah ko raat ka saara waaqiya aapne huzoor ko bataya to mere aaqa irshaad farmate hain ki baat to usne sachchi kahi magar hai wo bahut bada jhootha jo pichhli teen raaton se tumhare paas chor bankar aa raha tha wo aur koi nahin balki Iblees tha.

📕 Mishkat, jild 1,safah 177




AYTAL KURSI SE RIZK ME BARAKAT HOGI AUR GHAR ME KABHI CHORI NA HOGI :

➤ Agar makaan me oonchi jagah kunda karade to uske ghar me kabhi faaqa na hoga rizq me khoob barkat hogi aur na hi kabhi uske ghar chori hogi.


➤ Apni apne ghar ki apne ahlo ayaal ki jaano maal izzat aabru ki hifazat ke liye subah shaam padhkar unpar dum karta rahe, aur raat ko awwal aakhir durood sharif aur 1 baar aytal kursi padhkar khud par wa ghar ke tamam afraad par aur ghar ke chaaro kono par dum karde to sabki hifazat ki zimmedari RAB ki yahan tak ki uska ghar hi nahin balki aas pados ke ghar bhi chori se mahfooz ho jayenge in sha ALLAH taala.

📕 Alwazifatul kareema,safah 21


KOI BHI NEK MURAD YA HAZAD KO PURI KRNE KE LIYE AYATAL KURSI IS TARAH PADHE :

➤ Koi bhi haajat ho to baad namaze fajr salaam pherne ke fauran baad usi tarah baithe baithe 25 baar aur maghrib baad usi tarah 8 baar aytal kursi padhe in sha ALLAH bahut jald muraad payega,

➤ balgum agar seene par jama ho gaya ho to subah namak ki 7 kankariyon par 7,7 baar padhkar dum karke kha lein marz se izaala hoga, 

➤ dimaag ki tezi ke liye cheeni ki plate par likhkar dhokar piyen.

📕 Aamale raza, hissa 3,safah 42-45



No comments