क़ाबील और हाबील का वाक़िया Story of Qaabeel aur Haabeel

Qaabeel aur haabeel ka waqiya:

क़ाबील और हाबील का वाक़िया कुछ यूं पेश आया कि हज़रते हव्वा रज़ियल्लाहु तआला अंहा 40 मर्तबा हामिला हुईं, 39 बार 2 बच्चे साथ में पैदा हुए एक लड़का और एक लड़की,और चालीसवें बार में हज़रत शीश अलैहिस्सलाम अकेले पैदा हुए,उनकी शरियत में साथ में पैदा होने वाले बच्चे ही बहन भाई होते और दूसरे हमल से हुए बच्चों के साथ उनका निकाह होता था,तो हुआ युं कि क़ाबील के साथ जो लड़की पैदा हुई उसका नाम अक़लीमा था जो बहुत खूबसूरत थी और हाबील के साथ जो लड़की पैदा हुई उसका नाम लिब्वा या लिव्दा था जो कि अक़लीमा की तरह खूबसूरत नहीं थी,तो क़ाबील की शादी लिब्वा से और हाबील की शादी अक़लीमा से तय हुई मगर क़ाबील इसके लिए तैयार ना हुआ वो अपने साथ ही पैदा हुई लड़की से शादी करना चाहता था जो कि हराम था,जब क़ाबील ना माना तो हज़रत आदम अलैहिस्सलाम ने दोनों को क़ुरबानी पेश करने को कहा कि जिसकी क़ुरबानी क़ुबूल होगी वो अक़लीमा से निकाह करेगा,उस वक़्त का मामूल ये था कि जिसकी क़ुरबानी क़ुबूल हो जाती थी तो आसमान से आग आकर वो क़ुरबानी निगल जाती,दोनों ने क़ुरबानी पेश की तो हज़रते हाबील की क़ुरबानी क़ुबूल हो गई ये देखकर क़ाबील और ज़्यादा हसद में भर गया और अपने भाई को क़त्ल करने का प्लान बनाया,ज़मीन पर अब तक क़त्ल जैसा संगीन जुर्म नहीं हुआ था सो उसे क़त्ल करने का तरीक़ा भी नहीं आता था,एक दिन हाबील दरख्त के नीचे सो रहे थे तो इब्लीस ने क़ाबील के सामने एक परिंदे का सर पत्थर से कुचल दिया,ये देखकर क़ाबील को क़त्ल का तरीका मालूम हुआ और उसने भी वैसा ही किया और हाबील को पत्थर से कुचल कर मार दिया,अब मार तो दिया मगर लाश का क्या करता सो उसे पुश्त पर उठाये 40 दिनों तक युंही फिरता रहा,फिर अल्लाह ने 2 कौवों को भेजा एक ने दूसरे को मार दिया फिर अपनी चोंच से ज़मीन खोदकर गढ़ा किया और मरे हुये कौवे को उसमे दबाकर उड़ गया,तो क़ाबील ने भी वैसे ही अपने भाई को जमीन में दफन कर दिया,हाबील की क़त्ल की खबर सुनकर हज़रत आदम अलैहिस्सलाम इतने ज़्यादा ग़मज़दा हुये कि आप 100 साल तक मुस्कुराये नहीं फिर मौला ने आपको हज़रत शीश अलैहिस्सलाम की बशारत दी तो आप मुस्कुराये, क़त्ल का ये वाक़िया मंगल के दिन पेश आया और उस वक़्त हज़रते हाबील की उम्र 20 साल और क़ाबील की 25 साल और हज़रत आदम अलैहिस्सलाम की उम्र 125 साल थी

📕 तज़किरातुल अम्बिया,सफह 56-61
📕 तफसीर रूहुल बयान,जिल्द 1,सफह 555 
📕 अजायबुल क़ुरान,सफह 95

क़त्ल से पहले क़ाबील बहुत खूबसूरत था मगर जैसे ही उसने ये जुर्म किया उसका चेहरा सियाह पड़ गया और अक़्ल भी ज़ायल हो गई,उसको उसी के बेटे ने जो कि अंधा था पत्थर मार मारकर हलाक कर दिया,उस पर अज़ाब ये है कि उसको पिंडली से उल्टा लटकाया गया है और उसका मुंह सूरज की तरफ है और सूरज के घूमने के साथ-साथ वो भी घूमता रहता है,और क़यामत के दिन पूरे जहन्नम के अज़ाब का आधा हिस्सा अकेले उस पर डाला जायेगा

📕 तफसीर रूहुल बयान,जिल्द 1,सफह 556

Qaabeel aur haabeel ka waqiya:

Qaabeel aur haabeel ka waqiya kuchh yun pesh aaya ki hazrate hawwa raziyallahu taala anha 40 martaba haamila huyin,39 baar 2 bachche saath me paida hue ek ladka aur ek ladki,aur chaaliswe baar me hazrat sheesh alaihissalam akele paida hue,unki shariyat me saath me paida hone waale bachche hi bahan bhai hote aur doosre hamal se hue bachcho ke saath unka nikah hota tha,to hua yun ki qaabeel ke saath jo ladki paida huyi uska naam aqlima tha jo bahut khoobsurat thi aur haabeel ke saath jo ladki paida huyi uska naam libwa ya liwda tha jo ki aqlima ki tarah khoobsurat nahin thi,to qaabeel ki shaadi libwa se aur haabeel ki shaadi aqlima se tai huyi magar qaabeel iske liye taiyar na hua wo apne saath hi paida huyi ladki se chaadi karna chahta tha jo ki haraam tha,jab qaabeel na maana to hazrat aadam alaihissalam ne dono ko qurbani pesh karne ko kaha ki jiski qurbani qubool hogi wo aqlima se nikah karega,us waqt ka maamool ye tha ki jiski qurbani qubool ho jaati thi to aasmaan se aag aakar wo qurbani nigal jaati,dono ne qurbani pesh ki to hazrate haabeel ki qurbani qubool ho gayi ye dekhkar qaabeel aur zyada hasad me bhar gaya aur apne bhai ko qatl karne ka plan banaya,zameen par abtak qatl jaisa sangeen jurm nahin hua tha so use qatl karne ka tariqa bhi nahin aata tha,ek din haabeel darakht ke neeche so rahe the to iblees ne qaabeel ke saamne ek parinde ka sar patthar se kuchal diya,ye dekhkar qaabeel ko qatl ka tariqa maaloom hua aur usne bhi waisa hi kiya aur haabeel ko patthar se kuchal kar maar diya,ab maar to diya magar laash ka kya karta so uski laash ko pusht par uthaye 40 dino tak yunhi firta raha,phir ALLAH ne 2 kawwo ko bheja ek ne doosre ko maar diya phir apni chonch se zameen khodkar gadha kiya aur mare hur kawwe ko usme dabakar ud gaya,to qaabeel ne bhi waise hi apne bhai ko zameen me dafn kar diya,haabeel ki qatl ki khabar sunkar hazrat aadam alaihissalam itne zyada ghumzada hue ki aap 100 saal tak muskuraye nahin phir maula ne aapko hazrat sheesh alaihissalam ki basharat di to aap muskuraye,qatl ka ye waqiya mangal ke din pesh aaya aur us waqt hazrate haabeel ki umr 20 saal aur qaabeel ki 25 saal aur hazrat aadam alaihissalam ki umr 125 saal thi

📕 Tazkiratul ambiya,safah 56-61
📕 Tafseer ruhul bayan,jild 1,safah 555
📕 Ajaybul quran,safah 95

Qatl se pahle qaabeel bahut khoobsurat tha magar jaise hi usne ye jurm kiya uska chehra siyah pad gaya aur aql bhi zaayal ho gayi,usko usi ke bete ne jo ki andha tha patthar maar maarkar halaak kar diya,uspar azaab ye hai ki usko pindli se ulta latkaya gaya hai aur uska munh suraj ki taraf hai aur suraj ke ghoomne ke saath saath wo bhi ghoomta rahta hai,aur qayamat ke jin poore jahannam ke azaab ka aadha hissa akele uspar daala jayega

📕 Tafseer ruhul bayan,jild 1,safah 556

No comments