हज़रत इस्हाक़ अलैहिस्सलाम ।। Biography Of Hazrat Ishaq Alaihissalam
Hazrat Ishaq Alaihissalam:
हज़रत इस्हाक़ अलैहिस्सलाम का लक़ब अबुल अजम यानि गैर अरबी है
📕 तफसीरे सावी,जिल्द 1,सफह 225
हज़रत इस्हाक़ अलैहिस्सलाम की उम्र 180 साल हुई
📕 अलइतक़ान,जिल्द 2,सफह 176
हज़रत इस्हाक़ अलैहिस्सलाम की मज़ार आपके वालिद के बगल में बताई जाती है मगर कुछ रिवायतों में बैतुल मुक़द्दस भी आया है
📕 उम्दतुल क़ारी,जिल्द 7,सफह 373
📕 तफसीरे नईमी,जिल्द 1,सफह 871
एक मर्तबा हज़रते सारह व हज़रते हाजिरा में किसी बात पर लड़ाई हो गयी और हज़रते सारह ने ये कसम खा ली कि अगर मैं क़ाबू पाऊंगी तो तुम्हारा कोई उज़ू यानि हिस्सा काट दूंगी,मौला ने हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम पर वही भेजी कि दोनों में सुलह करा दो आपने सुलह तो करा दी पर हज़रते सारह फरमाती हैं कि मैंने जो खुदा की कसम खाई उसका क्या,तब मौला ने हज़रते सारह को हज़रते हाजिरा के कान छेदने का हुक्म दिया कि ऐसा कर लो तो तुम्हारी कसम पूरी हो जाएगी,आपने ऐसा ही किया औरतों के कान छेदने की यही दलील है और हीला शरई भी,अब हीला शरई क्या होता है इसका बयान फिर कभी इन शा अल्लाह
📕 जाअल हक़,हिस्सा 1,सफह 366
Hazrat Ishaq Alaihissalam ka laqab abul ajam yaani gair arbi hai
📕 Tafseere saavi,jild 1,safah 225
Hazrat Ishaq Alaihissalam ki umr 180 saal huyi
📕 Alitqaan,jild 2,safah 176
Hazrat Ishaq Alaihissalam ki mazaar aapke waalid ke bagal me batayi jaati hai magar kuchh riwayton me baitul muqaddas bhi aaya hai
📕 Umdatul qaari,jild 7,safah 373
📕 Tafseere nayimi,jild 1,safah 871
Ek martaba hazrate saarah wa hazrate haajira me kisi baat par ladaayi ho gayi aur hazrate saarah ne ye kasam khaa li ki agar main qaabu paungi to tumhara koi uzu yaani hissa kaat doongi,maula ne hazrat ibraheem alaihissalam par wahi bheji ki dono me sulah kara do aapne sulah to kara di par hazrate saarah farmatin hain ki maine jo khuda ki kasam khaayi uska kya tab maula ne hazrate saarah ko hazrate haajira ke kaan chhedne ka hukm diya ki aisa karlo to tumhari kasam poori ho jayegi,aapne aisa hi kiya aurton ke kaan chhedne ki yahi daleel hai aur heela sharayi bhi,ab heela sharayi kya hota hai iska bayaan phir kabhi in sha ALLAH
📕 Ja'al haq,hissa 1,safah 366
Post a Comment