सूर्य या चंद्र ग्रहण की नमाज़ ।। GRAHAN KI NAMAZ
Hazrat Abu Musa Ashari RaziALLAHU anhu se marwi hai *NABI ﷺ sallallahu alaihi wa sallam* ke zamane me grahan laga tho aapne taweel (lamba) qiyam ruku ke sath namaz ada ki, *ALLAH apne bando ko isse darata hai* lehaza tum me se jab bi grahan dekhe tho *zikr dua aur isteghfaar karo.
(📚Sahih Bukhari jild-1 hadees-1059)
Grahan se bachcho pe asar hota aisa kuch nahi. Grahan ke bareme jo *ghalat fehmi awwam me hai islam se iska koi talluq nahi.* Agar Behtari samajkar pregnant aurtein bahar nahi nikalti tho koi harj bhi nahi.
(📚Darulifta Ahlesunnat)
⏹Suraj grahan ki namaz sunnate muakkedha hai aur Chand grahan ki namaz mustahab hai.
⏹Ye namaz nafil ki tarah 2 rakat pade aur agar ziada padli tab bi harj nahi. Jo bi surah yaad ho pade.
(📚Durre Mukhtar Kitabus salat,jild-3)
Post a Comment