Eid ul Fitr Ki Namaz Padhne Ka Tariqa

Eid Ki Namaz Parhne Ka Tariqa :

Eid Ki Namaz Ki Niyyat:

"Mai 2 Rakat Eid ul Fitr Ki Wajib Namaz 6 Zayed Takbir Ke Sath Wastey Allah Subhana Wa ta'ala  Ke, aur Peechey Is Imam Ke, muh Mera kabeh shareef ki taraf"

1. Pehli Takbeer

Jab Imaam Pehli Takbeer AllahuAkbar Kahe Tho Dono Haath Kano Tak Uthaye aur Allahuakbar kahtey hue Hatho Ko naaf nichey BaandhKar SANA Parhey

2. Dusri Takbeer

Jab Imaam Sahab Dusri Takbeer AllahuAkbar Kahe Tho Allahuakbar kahtey hue Haatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chorr de.

3. Tisri Takbeer

Jab Imaam Sahab Teesri Takbeer AllahuAkbar Kahe Tho Allahuakbar kahtey hue Haatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chour de.

4. Chouthi Takbeer 

Jab Imaam Sahab Chouthi Takbeer AllahuAkbar Kahe Tho Allahuakbar kahtey hue Haatho Ko Kano Tak Uthaye Phir Baandh Le Ab imam sahab surah fatiha aur koi quran ka surah Tilawat Karengey phir ruku do sajde hongey phir

Dusri Rakat:

Jab Imaam Sahab Pehli Rakat Puri Kar Ke Dusri Rakat Shuru Kare To Imaam Sahab Ki Qirat Karne Ke Baad RUKU Me Janey Se Pehle Imaam Sahab Takbeer Kahengey

1. Pehli Takbeer

Jab Imaam Sahab Pehli Takbeer AllahuAkbar Kahe Tho Allahuakbar kahtey hue Hatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chour de

2. Dusri Takbeer

Jab Imaam Sahab Dusri Takbeer "AllahuAkbar" Kahe Tho Allahuakbar kahtey hue Haatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chour de

3. Tisri Takbeer

Jab Imaam Sahab Tisri Takbeer AllahuAkbar Kahe Tho Allahuakbar kahtey hue haatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chour de

4. Chouthi Takbeer

Jab Imaam Sahab Chouthi Takbeer "AllahuAkbar" Kahe Tho Bagair hath utaye Allahuakbar kahtey hue ruku me jaye

Phir do sajde, qaida (Athaiyaat) aur salam pherey.

Namaz ke Baad Khutba Suney.

(📚Bahare Shariat Jild-1)

No comments